Header Ads

Imali ke fayde (Benefits of Tamarind)

ImliImli se ham acche se parichit hain. Paani puri ka paani taiyaar karna ho ya khane wali cheezo mein khataai ya Chutney ki baat ho, Imli sabse jyada upyog mein layi jati hain. Khan-pan mein imali ke mahtav ko lag-bhag har koi janta hain. Lekin imli ke aushadhiy guno se jyada log prichit nahi hain. Imli ka vanaspatik naam Tamarindus indica hain. Herbal Jankar Imali ko anek herbal nuskhe ke taur par apnate hain. Chaliye aaj jante hain, Imali se jude kuch ajab-gazab nuskhe jinhe shayad kam hi log jante hain. 


Sujan mein aaram

Imli ki pattiyo ko paani ke saath kuchalkar lep taiyaar kiya jaye aur jod dard ya sujan wale hisse par lepit karke suti kapde se baandh kar rakha jaye. To dard aur sujan mein tezi se aaraam milta hain. 



Gale ki kharash door kare 

Pattiyo ko kuchal kar ras taiyaar karke kulla kiya jaye to gale ki kharash door ho jati hain. Paki huyi imli ke phalo ke ras se bhi kulla kiya jaye to samsya mein aaraam milta hain. 



Dast mein aaraam 

Imli ke beejo ko bhoonkar pees liya jaye aur iski 3 Gram matra ko gun gune paani ke saath dene se dast mein aaram milta hain. 



Piliya theek hota hain

Imli ki pattiyo aur phoolo ko paani mein ubal kar kadha taiyaar kiya jata hain aur is kadhe ko piliya ke mareez ko diya jata hain. Mana jata hain ki is kadhe ka hafte mein har roj din mein 2 baar sewan karne se labh milta hain. 


 Ghav jaldi sukhta hain 

 Aadiwasi Imli ke patto ka ras ghaav par lagate hain. Mana jata hain ki pattiya ghaav ko bahut hi jaldi sukha deti hain. 

Sukranu ki matra badhti hain

Aadiwasi Ajwain, Imali ke beej aur gud ki saman matra lekar ghee mein acchi tarah se bhun lete hain. Aur phir iski kuch matra prati din Napunsakta se grasit mareez ko dete hain. In aadiwasiyo ke anusaar yeh mixture mardaana takat ko badhane ke saath-saath sukraanu ki sankhya bhi badhane mein madad karta hain. 



Bhookh lagti hain 

Pake huye imli ke phalo ko paani ke saath masal kar ras taiyaar kiya jata hain, Aur halki matra mein kala namak dalkar sewan karne se bhookh lagne lagti hain. Har roj din mein 2 baar aisa karne se bhookh na lagne ki problem door ho jati hain. 



Bukhaar theek ho jata hain 

Pake huye Imali ke phalo ka ras ki kareeb 15 gram matra bukhaar se peedit rogi ko di jaye , to Bukhaar utar jata hain. Aadiwasi mante hain ki is ras ke saath Elaichi aur Khajoor ki kuch matra mila di jaye to jyada fayda hota hain. 




Jalan shant ho jati hain 

Aadiwasi herbal expert Imali ki pattiyo ko mitti ke bartan mein bhun lete hain. Jab pattiya jal jati hain, To inhe ragadkar Churan taiyaar kar lete hain. 1 Chammach Til ke tel mein kareeb 4 Gram jali huyi pattiyo ka churan mila kar jale huye ang par lagane se jalan shant ho jati hain aur ghaav jaldi sukhta hain.