Header Ads

Hing ke fayde (Benefits of asafoetida)

Hing ki photoGhar ki rasoi ho ya hotel ki Hing (Asafoetida) ka kitchen mein rahna bahut hi jaroori hain. Hing ke fayde bade hain, Hing na kewal daal, Sambhar, Sabziyo ka swaad badhati hain, balki kai pakwaan to iske bina adhure hi hain. Vaise Hing hamesha se apne aushadhiya guno ke karan jani jati hain. Bachho se lekar budhhe tak iska upyog kar sakte hain. Aamtaur par Hing ko pet ka dost mana jata hain. Yeh kisi bhi prakar ke apach aur pet ke marod ko turant door karne mein madad karti hain. Yeh bhookh ko badhati hain. Hing kai bimariyo ke roktham mein bhi madadgar hain. Aaiye jante hain Hing ke Fayde, Gun aur iske upyog aur gharelu nuskhe ;-



1. Pain Killer :- Kisi bhi tarah ke dard mein Hing rahat deti hain. Isse migraine ka dard, daant ka dard, Periods ka dard, Normal Seer dard aadi ko door kiya ja sakta hain. Isme mauzood Anti-Oxidants aur Dard-nivaarak gun turant dard se rahat dete hain. Daanto ke dard ko door karne ke liye Hing, Nimbu ras ko mila kar gadha paste bana lena chahiye aur is paste ko vaha laga dena chahiye jaha dard ho raha ho. Garm paani mein Hing ka powder ko ghol kar peene se Migraine aur Seer dard turant door ho jata hain.


2. Fefde se sambandhit rogo mein ;- Hing shaktishali swash uttejak aur cough nivaarak hain. Yeh gale mein jama huye cough aur chhati mein khoon jamne mein turant rahat deta hain. Agar aapko sukhi khansi, Balgam ya bronchitis ki shikayat rahti hain, To Hing, Shahad aur Adrak ke misharan ka niyamit sewan labh deta hain.

3. Apach ;- Apach ko door karne ke liye Hing ko purane samay se hi gharelu dawaa ke taur par istemal kiya jata raha hain. Yeh Pet ki samsyaon ke liye akeli gharelu Ramban aushadhi hain. Yeh Anti-Oxidants aur Anti-Inflammatory khoobiyo se bharpoor hone ke karan pet ki gadbad, Gas, pet ke keede aur dast se sambandhi dikkato mein turant rahat deti hain.

4. Skin problem :- Hing mein kai shaktishali Anti-Inflammatory agents hone ki wajah se iska istemal beauty products mein kiya jata hain. Yeh skin par panpane wale corns aur calluses ko theek karti hain. Hing ka cooling effect tavcha ki jalan ko kam karta hain aur Bacteria ko paida nahi hone deta hain.

5. Cancer se bachaav :- Hing ke anti-oxidants se koshikao mein Free-Radicals ko phailne ka mauka nahi milta hain. Yeh Free-Radicals hi cancer ko badhava dete hain, Lekin Hing inko phailne se rokta hain aur kai tarah ke cancer se bachata hain. Khas karke Hing Badi Aant se jude cancer ko rokne mein bahut hi asardaar mana gya hain.

6. Mahila/ Purush ke rog ;- Mahilaon mein mahavari (periods) ke dauran pet aur pedu mein achanak uthe dard ko Hing se kam kiya jata hain. Yeh pet mein hone wali ainthan, aniyamit mahavari (Periods) ke ilaj mein kaam aati hain. Iske alawa Hing se luecoria ka bhi ilaj kiya jata hain. Purusho ke yaun sambandhi vikaar bhi isse theek ho jate hain. Yeh napunsakta, shukraanoo ki kam sankhya aur shighra-patan jaise samsyaon ko door karne mein shaksham hain. Gramin ilaako mein mardangi badhane ke liye Hing ko garm paani mein mila kar peene ki salah di jati hain. Isse khoon ka pravaah tez ho jata hain aur low blood pressure mein samsya mein turant rahat milti hain.

Aaiye jante hain Hing ke Desi nuskhe (Gharelu Nuskhe) aur iske fayde :- 

 Pet ki samsya mein kaise kare upyog ? 

1. Chutki bhar Hing ki matra khane mein jaroor shamil kare. Daal aur Sabzi mein Hing ka Tadka jaroor lagaye.

2. Iske alawa ek cup paani mein jara si Hing mila kar rojana khana khane ke baad piye.


Periods ki problems mein :- Mahilaon ke aniyamti periods aur periods mein jyada bleeding ko Hing ke dwara door kiya ja sakta hain. Periods ke dauran hone wale dard ko kam karne mein yeh madadgar hota hain.

Kaise kare Istemal ?

1. Chhachh mein chutaki bhar Hing, aadha chammach Methi powder aur swadanusaar Namak dalkar lagatar ek mahine tak din mein 2 se 3 baar piye. Pet ki takhleef mein aaram milta hain.


Sirdard aur Migraine mein :- Sardi-Jukam se hone wale sirdard ya migraine , Hing dono hi samsyaon mein behtar ilaj hota hain. Apne Anti-Inflammatory guno ke karan Hing Blood vessels ki sujan ko door karta hain jo Sirdard ki ahem wajah hoti hain.

Kaise kare istemal?

1. Ek cup paani mein chutaki bhar Hing daal kar usay 15 minutes tak dheemi aanch par ubaale. Thanda hone ke baad ise pee le. Kafi aaram milega.

2. Iske alawa ek chammach Hing, Sukha Adrak, Kapoor aur Lal Mirch ki thodi-thodi matra lekar usme doodh aur Gulabjal mila kar paste taiyaar kare. Is paste ko seer par lagaye. Migraine mein aaraam milega.

 
Daant dard mein Hing ka upyog kaise kare? 

1. Daant dard vali jagah par Hing ka tukda rakhne se bahut jaldi aaram milta hain.


2. Hing ke powder ko gungune paani mein mila kar kulla karna bhi faydemand hota hain.

3. Nimbu ke ras ke saath ek chammach Hing mix kare aur ise halka garam kare aur dard wali jagah par lagaye.


Kaan Dard mein Hing ka upyog (Use of Asafoetida in Ear Pain) :- 

Nariyal Tel ko garam kare aur usme chutaki bhar Hing ki matra dal kar usay mix kare. Ab ise Kaan mein boond-boond karke daale. Bahut jaldi aaram milega.


Saans ki samsya, Asthma aur Sardi-khansi mein Hing ka Upyog :- 

Asthma, Sukhi khansi aur sardi jukaam se saans lene mein takhleef hone lagti hain, Kai baar isse cough ki samsya bhi ho jati hain. Isse nipatne ke liye Hing dawaa ke taur par kaam karti hain.

Kaise kare istemal?

1. Hing ke powder ko paani mein mila kar iska paste taiyaar kare aur ise seene par acche se laga kar kuch der tak rakhe. Isse aaram milta hain.

2. Aadha chammach Hing, Aadha chammach Adrak ke powder ko 2 chammach Shahad ke saath Mix kare. Din mein kam se kam 3 baar iska istemal karne se Sukhi khansi aur sardi-jukaam ki samsya door ho jati hain.