Header Ads

Masudo ki sujan ko door karne ke asaan gharelu upay (Home remidies for Gums swelling)

Masoodho mein sujan Masudo mein sujan hain to ise door karne ke gharelu nuskhe aur upay kya aap jante hain? Masoodho (Masoodo/Gums/Masudho) ki sujan ko door karne ke tips kya hain. Masoodo mein sujan ki problem to koi aam problem nahi hain, Lekin bahut jyada preshan karne wali problem to jaroor hain. Irritation ke saath hi isme khujali, Dard aur sensitivity hoti rahti hain. Is sujan ke peeche masudo ki koi bimari, kuch khas foods, Nutrients ki kami jaise kai karan ho sakte hain, Lekin jyadatar yeh masudho mein hone wali bimari  Gingivitis ke chalte hoti hain, Jisme masudhe lal ho jate hain. Saath hi, Isme bleeding bhi hoti hain. Iske alawa Pregnancy mein hormones ke badlaav ki wajah se bhi gums mein swelling aa jati hain. Is samsya ko gharelu upay ke jariye kaise door kiya ja sakta hain, Yeh janana bahut hi jaroori hain. Aaj hum inhi gharelu nuskho ke baare mein janenge. 


Masudho ki samsya ko door karne ke gharelu nuskhe aur upay :- 

Ajwain :- Ajwain ka istemal bhi masudho ke sujan ki problem ko kafi hud tak kam karta hain, Kyonki isme Anti-Bacterial  aur Anti-Fungal ke saath hi Anti-Inflammatory gun bhi mauzood hote hain. Ajwain ki jagah iska tel bhi istemal kiya ja sakta hain. 

Aise kare istemal :- Ajwain ko halka sa bhoon le. Mixi mein dalkar ise pees le aur iska powder bana le. Is powder mein halka sa Sarso ka Tel mila kar iska paste banaye. Ab is paste ko masoodho par acchi tarah se lagaye.



Lavang (Laung) ka Tel :- Jyadatar log masudo mein sujan hone par Lavang ya iske tel ka istemal karte hain. Laung (Cloves) mein mauzood Eugenol Anti-Oxidant aur Anti-Inflammatory guno se bharpoor hota hain, Jo sujan ke sath-sath dard mein bhi araam pahuchaata hain. 

Aise kare istemal :- Laung ke tel ko acche tarah se mix karle. Cotton ki  madad se ise masudho par acchi tarah se lagaye. Lavang ka tel daanto ke dard aur sujan ko kam karne mein sabse jyada asardar mana jata hain.


Aloe Vera :- Research mein is baat ka pata chala hain ki Aloe Vera masudo ke sujan ki samsya ko khatm karta hain. Aloe Vera mein Anti-Inflammatory, Anti-Fungal, Anti-Bacterial aur Anti-Oxidant jaise kai saare gun paye jate hain.  Jo kai tarah ki bimariyo se ladne mein madadgar hain. Sujan ke saath masudho mein khoon aane ki problem mein Aloe Vera best hain.

Aise kare istemal :- Pattiyo se iska Gel nikal kar usse masoodho ki massage kare ya toothpaste ki tarah iska istemal kare. Din mein 3 se 4 baar iska istemal faydemand rahega. Iske alawa ek dusra upay yeh hain ki iske gel mein halka sa paani mila kar usse gargle (garare) kare, isse bahut jaldi takhleef door hoti hain.

Namak ke paani se garare :- Masoodo mein sujan door karne ka sabse kargar nuskha hain, Namak wale paani se gargle karna. Namak wale paani se mooh ke bacteria door hote hain aur unki sujan turant kam ho jati hain. Gungune paani se se garare karna aur bhi jyada faydemand rahta hain.

Aise kare istemal :- Paani mein Namak milaye. Is paani se garare kare. Din mein 2-3 baar aisa karne se sujan ki samsya mein rahat milti hain. Yeh process gungune paani ke saath bhi kiya ja sakta hain.


Adrak aur Namak ka paste ;- Adrak Anti-Inflammatory agent ke taur par jana jata hain, Jo sujan paida karne wali problems ko door karta hain. Iska istemal sirf masudho ke sujan mein hi nahi, Balki kai tarah ki problems ko door karne mein bhi kiya jata hain.

Aise kare istemal :- Adrak ko Mixi mein pees kar uska paste taiyaar kar le. Is paste mein lagbhag 1 chammach Namak milaye. Is paste se suje huye masoodho ke aas-paas halka-halka massage kare. Din mein 2-3 baar iska istemal jald rahat dilayega.


Baking Soda :- Baking soda mein Alkine gun hote hain jo mooh ke bacteria ko khatm karne mein bahut hi faydemand hain. Iske alawa Baking soda ke istemal se daanto ki chamak bhi barkarar rahti hain.

Aise kare istemal :- Baking Soda mein halka sa paani mila kar iska paste taiyaar kare. Brush ya haath ki madad se sujan wali jagah par halka massage kare. Daanto ka peelapan door karne ke liye is paste se brush karna bhi faydemand rahta hain.


Nimbu Paani :- Nimbu mein Anti-Inflammatory aur Alkine ke alawa Calcium, Potassium, Vitamin A, C aur Pectine Fiber mauzood hota hain, Jo na kewal masoodo ki sujan ko door karta hain, Balki mooh ki others problems  aur bimariyo ko bhi door karne mein bahut kargar hota hain. Yeh Minerals aur Vitamins ki kami ko door karta hain. Rojana Nimbu Paani peene se masoodho aur daanto ki samsya mein aaram milta hain.

Aise kare istemal :- 1 Glass mein gunguna paani le. Paani mein Nimbu ka ras dalkar acchi tarah se mix karle. Ab aap is paani se gargle kare. Aap chahe to is paani ko pee bhi sakte hain. Din mein 1-2 baar is paani se garare karne se kafi rahat milti hain.