Header Ads

Sharab peene ke nuksan (Side Effects of Alcohol in Hindi)

Sharab peene ke nuksaan Sharab peene se sharir ko hamesha hi nuksaan ka saamna karna padta hain. Jyadatar log sharab ke nuksaan ki baat karte hain to sabse pahla yahi batate hain ki yeh Liver ko kharab karti hain, Lekin sharab na sirf Liver ko hi kharab karti hain, Balki isse Pet se judi bimariya, Gathiya Rog aur Motapa bhi ho sakta hain. Janiye sharab aapki health ko kaise nuksaan pahuchaati hain. Sharab na sirf aapke Social Life, Economy par asar daalti hain balki yeh aapke health ko bhi bahut bure tarah se prabhavit karti hain. Sharab peene ki latt bahut hi buri hain, Isse na sirf aapki social life kharab hoti hain, balki aapki aarthik stithi ko bhi nuksaan pahuchta hain. Aaiye jante hain sharab peene se aapki sehat par kya asar hota hain.

Sharab Peene ke nuksaan (Side-Effects of Drinking Alcohol) :- 

Anemia :- Alcohol ke jyada sewan se sharir mein oxygen le jane wali Red Blood Cells  kam ho jati hain. Aise mein thakaan, saans ki takhleef aur Seer dard jaisi problem hone lagti hain. Dheere-dheere aap khoon ki kami yani ki Anemia ke shikar ho jate hain.

Heart Problem :- Sharab ka jyada sewan aapke dil ke liye bhi accha nahi hota hain. Jyada sharab peene se aapko dil ka daura (Heart Attack) bhi aa sakta hain. Sharab se Platelets ka khoon ke thakko ke roop mein jamne lagte hain, Jiski wajah se heart attack ya stroke hone ka khatra badh jata hain.

Cancer :- Sharab peene se Cancer badh jata hain. Ek research ke mutabik Alcohol sharir ke ander Acetaldehyde mein badal jata hain, Jisse Gale ka cancer, Liver cancer, Breast Cancer aur Larynx Cancer ho jata hain. Tobacco ka sewan karne wale logo mein is tarah ki bimariyo ka khatra aur bhi jyada hota hain.

Dimaag hota hain sust :- Bhale hi aap thodi-thodi peete ho, magar iska asar aap par jyada hota hain. Isse aapke dimaag ke reaction dene ki capacity par asar padta hain.

Mirgi :- Jyada Sharab peena Mirgi hone ki wajah ban sakta hain. Aur yeh Mirgi ka dauran oon logo ko bhi pad sakta hain, Jinhe Mirgi ki shikayat nahi hain.

Immune System kamjor :- Jyada Drinking karne se immune system kamjor ho jata hain, Jisse infection hone ka khatra badh jata hain. Isse T.B., Pneumonia aadi jaise rog shamil hain.

High Blood pressure :- Sharab ka asar sharir mein blood flow par padta hain. Isse Blood pressure badhne lagta hain. High blood pressure apne aap mein ek rog hain, saath hi yeh anya kai bimariya jaisi Dil ki bimariya, Stroke, heart attack ke liye bhi jimmevar hota hain.

Hajma kharab hona ;- Drinking karne se pet mein jalan hoti hain. Jiski wajah se hajma kharab ho jata hain.

Mansik rog :- Umar badhne ke saath lagbhag 1.9% ke rate se logo ka dimaag sikudta hain. Magar Sharab ke jyada sewan se yeh dimaag ke kuch hisso mein iske sikudne ki speed badh jati hain, Jisse mansik rog ho jate hain.

Pregnant women ke liye khatrnaak :- Pregnant women ko kabhi bhool kar bhi sharab ya Alcohol ki koi bhi drink nahi leni chahiye, Kyonki yeh uske kokh mein pal rahe bacche par gahra asar daalkar usko nuksaan pahuchata hain. Khas karke isse hone wale bacche ka dimaag kamjor ho jata hain.

Purusho mein virya ki quality par asar ;- Jyada sharab peene se aapke sperm ki quality par kharab asar hota hain. Isse aapki sperm count mein kami aati hain. Jyada sharab peena aapko napunsak tak bana sakta hain.

Yaddasht kamjor hona :- Jyada sharab peene se aapki yaddasht kamjor hone lagti hain. Kyonki yeh aapke dimaag par bahut hi bura asar dalta hain aur dheere-dheere aapki memory power ko khatm kar deta hain.

Sharab peene ka sabse jyada asar Liver par hota hain, Janiye Liver par Sharab ka kaise asar hota hain .

Fatty Liver :- Pahli stage mein Liver bada ho jata hain aur usme fat badh jata hain. Is stage mein agar aap alert ho jaye to Fatty Liver se bacha ja sakta hain. Doctor sharab chhodne ya kam peene ki salah dete hain. Agar mareez ne sharab chhod di to dheere-dheere Liver normal ho sakta hain. Phir bhi agar koi shakhs sharab peena jaari rakhta hain , toh dusri stage shuru ho jati hain.

Alcohol Hepatitis :-  Isme Fat badhne ke saath Liver ke cells dead hone lagte hain. Pet ke right side mein jaha Liver hota hain, usme bechaini hone lagti hain. Mareez ko bukhaar, Piliya ya halka-halka dard ho sakta hain. Is dusri stage mein ultrasound karwa kar check kiya jata hain. Mareez sharab chhodne ke 6 mahine baad normal ho sakta hain.

Alcoholic Cirrhosis :- Jab koi lagatar pita jata hain toh teesri sabse ghatak stage shuru ho jati hain, Jise Alcoholic Cirrhosis ke naam se jana jata hain. Is stage mein aane ke baad Liver kabhi bhi normal nahi ho pata hain. Is stage mein Piliya hone ke saath-saath Pairo mein sujan aani shuru ho jati hain. Pet phool sakta hain aur Paani bhar sakta hain, Khoon ki ulti aa sakti hain aur mareez kabhi bhi behosh ho sakta hain.