Header Ads

Skin ya chehre par besan lagaane ke fayde.

besan Pack benefits in Hindi
Chane ka aata jise hum besan ke naam se jante hain, Iska upyog hum jyadatar pakaude banane ke liye karte hain. Lekin kya aapko pata hain ki Besan saaf, sunder aur damakti skin paane ke liye bahut hi faydemand hota hain. Besan ka sabse bada fayda yeh hain ki aap apni kisi bhi tarah ki skin par iska istemal bina kisi confusion ke kar sakte hain. Kahne ka matlab yeh hain ki besan pack ko aap oily, sensitive aur dry kisi bhi  tarah ki skin par bina kisi jhijhak ke iska istemal kar sakte hain. Yeh skin ko gora aur saaf toh banata hi hain, saath hi yeh skin se judi kai problems ko bhi door kar deta hain. Murjhaai huyi tavcha ko theek karta hain. Keel-muhaso aur kaali hoti skin ke liye besan ek behtarin ilaj hain. Aaiye jante hain ki besan se chehre ko kya kya fayde hote hain.

Besan ke behtarin fayde jo chehre ya skin par ise lagane se hote hain :- 

1. Tel hataaye :- Chehre par saabun lagane se chehre ka tel gayab ho jata hain, Lekin chehre ki nami ekdum se gayab ho jati hain. Jabki besan powder ke saath aisa bilkul bhi nahi hota hain.

2. Skin banaye smooth :- Besan powder lagaane se skin mulayam aur smooth banti hain. Vahi agar aap dusri aor har waqt saabun lagaate hain toh chehra dry ho jayega aur kharaab dikhaayi dega.

3. Pores tight kare :- Chehre par bade  pores dikhne mein kafi kharaab lagte hain. Isliye unhe chhota karne ke liye besan ka ubtan lagaye. Ubtan banane ke liye usme thoda doodh aur chutaki bhar haldi milaye aur lagaye. Kuch hi dino mein aap mahsoos karenge ki pores chhote ho gye hain aur aapka rang bhi nikhar gya hain.

4.  Fresh skin ke liye :- Besan mein Gulab-Jal mila kar skin par lagaye aur sukhne par gungune paani se saaf kare. Isse skin ki extra moisture kam hoga aur chehra fresh lagega.

5. Safe aur Natural :- Jaha saabun 100% shuddh hone ki guarantee nahi de sakta hain, Vahi besan saabun se shudhh hota hain. Isme na toh chemical hota hain aur ise lagane se na toh chehra kharab hota hain.

6. Nikhaar aata hain :- Besan mein Malaai ya Doodh, Shahad aur ek chutaki Haldi mila kar lagaane se dry skin ko natural tarike se moisture milta hain aur tavcha mein nikhaar aata hain.

7. Tanning hataye :- Chehre ko saabun se nahi, balki besan se dhone par chehre ka rang saaf hota hain aur Sun Tanning bhi chali jati hain.

8. Bleaching karta hain :- Besan mein bleaching ke gun bhi hote hain, Yeh skin ko naturally bleach karta hain.

9. Dead skin saaf kare :- Aap chahe toh chehre par besan paste lagaane ke baad halke haatho se ragad kar chhuda le. Isse dead skin saaf ho jayegi.

10. Gahre daag-dhabbe mitaye ;- Isme mauzood bleeching ke tatv chehre ke daag-dhabbo ko halka kar dete hain. Isliye saabun se nahi besan se chehra saaf karna shuru kijiye.

11. Muhaase door bhagaye :- Agar aap besan se chehre ko dhoyenge toh chehre par nikale keel muhaase sukhne lagenge aur chehra saaf nazar aane lagega.

12. Black heads ko khatm kare ;- Jin logo ki naak par kafi saare black-heads hote hain, Unke liye besan se accha gharelu upay aur koi nahi ho sakta hain.