Header Ads

Aisi khusboo jo aapko banaye healthy.

Khusboo ke faydeKya khusboo se bhi healthy raha ja sakta hain? Ji haan bilkul hamare aas-paas kai aisi cheeze mauzood hain jinhe sirf soonghne bhar se hi aap healthy rah sakte hain. Nimbu, Kela, Dalchini, Gulab jaisi cheezo ki sugandh (Smell) sehat par bahut hi positive effect dalti hain. In sugandh (Khusboo) ko sunghne yani ki aromatherapy se aapki Neend behtar ho sakti hain, Aap kisi apne ko smoking ki aadat tak chhudwa sakte hain. 

Aaiye jante hain ki kaun-kaun si cheezo ki khusboo sunghne se kya fayde hote hain :- 

Chameli se aati hain acchi Neend ;- Yadi aapko subah uthate samay thakaan mahsoos hoti hain to raat ko chameli soonghe. Saal 2011 mein huye ek research mein 20 logo ko shamil kiya gya. Raat ko inke kamre mein Chameli, Lavender ki khusboo chhodi gyi ya phir kuch bhi nahi. Research mein shamil logo ka kahna tha ki Chameli soonghne ke baad unke tanaav (Tension) aur Anxiety ka level kafi kam raha aur behtar neend aayi. Chameli ki khusboo wale kamre mein sone se unhone raat ko karvatein bhi kafi kam li. Researchers ka manna yeh hain ki Students aur Players ko Chameli ki khusboo se bhare kamre mein sona chahiye kyonki dono mein tension ka level bahut high hota hain aur Chameli ki khusboo inhe door kar sakti hain.


Gulab (Rose) se aate hain meethe sapne (Sweet Dreams) ;- Kya aapko raat mein daraawne sapne (Horror Dreams) aate hain? Bistar ke paas Gulab ke phoolo ka guldasta ya chota paudha rakhe. Germany mein ek research se yeh pata chala hain ki Jo mahilaye Gulab se bhari khusboo wale room mein soti hain, Unhe raat ko sweet dreams aate hain. Iske ulat jin mahilaon ko sade huye Ande ki badboo se bhare kamre mein sulaya gya, Unhe negative sapne aaye. Experts ka manana yeh hain ki Smell ka asar Dimaag ke emotional Response par padta hain. Gulab ki khusboo jaisi anya fragrance aksar khusnuma yaado se judi hoti hain, Isliye veh sweet dreams leti hain.

Dalchini banaye Balance :- Smell & Taste Treatment and Research Foundation ke Neurologist Alen Hirsach ne 11 logo par stability test kiya. In sabhi ke aankho par patti bandhi gyi. In 11 logo mein se 10 ka balance dusri cheezo ki gandh ki tulna mein Dalchini ki gandh soonghne mein behtar paya gya. Dalchini dusri Motor Skills ko bhi behtar karti hain.  Ek dusre research mein yeh paya gya ki Dalchini se thakaan door hoti hain aur Drivers ko alert karti hain. Isliye car chalate samay aap Dalchini ki khusboo wale freshener ka istemal kare.

Kali Mirch se chhoote Smoking :- Saal 2013 mein huye Tobacco aur Nicotine ke aadi logo par huye ek research mein paya gya ki Kali Mirch ka tel soonghne se unki smoking karne ki ichchha mein kami aayi. Kali Mirch ka tel soonghne se unke gale mein halki si jalan hui. Cigarette peete waqt unhe khas kism ka maza aata tha, Lekin gale mein hone wali is jalan ki wajah se unke maje mein kami aayi. Isi wajah se unhe smoking ki talab nahi hui. Researchers ka kahna hain ki jo log smoking chhodna chahte hain, Unhe ek cotton ball mein ek boond Kali mirch ka tel dalkar soonghte rahna chahiye.

Nimbu se gayab tanaav :- Nimbu ya iske jaisi kisi khatti cheez ko soonghne se aapka mood accha ho sakta hain. Japan mein huye ek research ke dauran Depression ki problem se joojh rahe 12 mareezo ko khatte phal soonghaye gye, Isme Lemon Oil sabse jyada tha. Asal mein mareez jis kamre mein sabse jyada waqt gujaarte thay, Oon kamro ko inki khusboo se bhar diya gya. Research mein yeh paya gya ki in mareezo ka hormone level sahi hua, Unki immunity badh gyi aur depression ko kam karne wali medicine ki jaroorat bhi kam padne lagi. Aap Lemon Bam ko kalaai mein baandh sakte hain.

Badam se hota hain dard door :- Dard mein Badam samet kuch Dry fruits madad karte hain. Canada mein huye ek research mein 20 mahilaon aur 20 purusho ko garam paani mein jitni der ho sake haath dubone ko kaha gya. Oos waqt unhe alag-alag khusboo soonghaai gyi. Jab mahilaon ne Badam ki khusboo soonghi to unhe dard 38% kam mahsoos hua, Jabki Sirka soonghne par unhe dard jyada laga. Purusho par koi asar nahi pada. Haan, Dono ka mood acchi khusboo soonghne ke baad accha hua. Experts ka manana hain ki khusboo ka asar operation karwa chuke mareezo par jyada padta hain.

To dosto aapne dekha ki kaise Khusboo (Fragrance) hame kaise healthy bana sakti hain. Khusboo ke jariye hum apne aap ko kaise healthy rakh sakte hain.