Header Ads

Headphone par R aur L kyon likha hota hain, Agar aap iske matlab Right-Left samajh rahe hain to aap galat hain...

Headphone mein R aur L kyon likha hota hain? Interesting facts in Hindi/Urdu. Mazedaar jankari.
Headphone ka istemal aap gaane sunne ke liye karte hi honge. Lekin aapne jaroor hi yeh dekha hoga ki headphone ki ek aor R to dusri aor L likha hota hain, Kya aapko maloom hain aakhir yeh R L ka nishaan kyon bana hota hain.

Aaj hum aapko aisi interesting aur mazedaar jankari dene wale hain, Jiska istemal hum apni zindagi mein rojana istemal karte hain. Aapne apne phone ya laptop ke earphone ya headphone par L aur R ka nishaan bana hua dekha hi hoga.

Aur aap yeh samajh rahe honge ki L ka matlab  Left hoga aur R ka matlab Right hoga, aur aap oosi ki mutabik headphone ko apne kaan mein lagate bhi honge. Lekin asal mein R ko Left kaan mein lagane aur L ko Righ kaan mein lagane se koi fark nahi padta hain. Aur jab koi fark nahi padta hain aur awaaz bhi dono se barabar aati hain to phir is L R ka sign kyon bana hota hain? Is R L sign ka kya matlab hain aur iska kya fayda hain?

Darasal yeh bewajah hi nahi bane huye hote hain. Iske peeche bahut hi badi waajib wajah hain. Sound Engineering se lekar Recording se judi baatein iski wajaho mein se ek hain. Sabse pahli wajah hain 'Recording'.

Agar "Stereo recording" ke samay ko sound left ki aor se aa raha hain to yeh aapke headphone ke left channel mein jyada tez sunaai dega aur right channel mein thoda dheema sunai dega.

Earphone mein Left aur Right channel hone ka dusra reason yeh hain ki isse 2 sounds ko alag-alag karke sunna asaan ho jata hain. Unke beech ka difference ko pahchan paana asaan hota hain. Kai aise songs hote hain, jinme Loud Musicals Instruments (example :- Dhol) aur Soft Musicals Insturments (Jaise- Baansuri) ki awaaz ek saath hoti hain. Aise mein ek instrument ki awaaz dusre ki awaaz ke aage dab na jaye, isliye dono ki awaaz ko ek saath alag-alag channel (Left ya Right) mein sunaya jata hain.

Iske alawa films ki perfect sound recording ke liye Left aur Right channel ka hona jaroori hain. Aapne kabhi koi movie apne laptop ya smartphone par earphone ke jariye dekhi hain? agar iska jawaab  haan hain to aapne notice kiya hoga ki screen ke left side se aane wali kisi car ki awaaz pahle left kaan wali ki tarah se aata hain aur dheere-dheere right side ki aor pahuch jata hain. Aisa isliye hota hain ki dekhne wale ko bhi vaha uske hone ka ahsaas ho.