Header Ads

Methi daane ka paani peene se hote hain yeh behtarin fayde.

Methidaane ka paani peene ke fayde
Methi ke daane aur iska saag dono hi sehat ke liye bahut hi faydemand mane gye hain. Methi ke daano mein Anti-Inflammatory properties hoti hain. Kya aapko maaloom hain ki Methi ke daano ko paani mein bhigo kar peene se health ko dher saare fayde hote hain. Ji haan Methi ke daano ko raat bhar ke liye paani mein bhigo de aur Subah is paani ko chhankar khali pet pijiye aur healthy rahiye.

Methi daane ka paani peene ke fayde :- 


• Weight loose karne mein madadgar

Is Paani mein Fiber bahut hi acchi matraa mein paya jata hain. Isliye methidaane wale paani ko niyamit peete rahne se wajan kam karne mein madad milti hain.

• High Blood Pressure kam kare

Methidaane wala paani peene se High blood pressure ko kam karne mein madad milti hain. Kyonki isme Potassium paya jata hain jo blood circulation ko behtar banata hain.

• Haajma durust banaye

Fenugreek Seed Water mein fiber aur Antioxidant bharpoor matraa mein hote hain. Yeh body se zehreele toxins ko baahar nikaal dete hain, jisse aapka hajma durust banta hain.

• Dil ke liye faydemand

Methidaane ke paani mein Potassium bahut hi badhiya matraa mein hota hain. Jisse yeh body mein sodium ke level ko control mein rakhta hain aur blood circulation ko behtar banata hain. Jisse aapko heart se related problems se aaram milta hain aur aapko dil ki bimariyan hone ka khatra kafi kam ho jata hain.

• Skin healthy Banaye

Methi ke daano wala paani peene se skin healthy banti hain, kyonki isme Antioxidant bahut hi good quantity mein paye jate hain. Jo skin ko healthy banaate hain.

• Kabz door kare

Rojana Methi ke daano ka paani peene se kabz door hoti hain. Yeh digestion ko behtar banata hain.

• Acidity door kare

Isme aise tatv paye jate hain jo Acid level ko control karte hain. Yeh acidity ko door karne mein bhi kargar maana jata hain.

• Sardi-Jukaam door kare

Methidaane ka paani peene se Sardi-khansi se bhi chhutkara milta hain. Isme Anti-Bacterial gun paye jate hain jo aapko Viral Fever se aaraam dilate hain.

• Diabetes mein faydemand

Methidane ke paani mein amino acid paye jate hain jo body ke insulin level ko banaye rakhta hain. Jisse diabetes ki bimari mein fayda hota hain.

• Cancer se bachaye

Is paani ko peene se zehreele toxins body se baahar nikal jate hain. Jisse aapko cancer hone ka khatra kaafi kam ho jata hain. Colon cancer se bachne ke liye Methidaane wala paani jaroor pijiye.