Header Ads

Rojana Hari Sabziyan aur Phal kyon khane chahiye? Why Eat Vegetables & Fruits daily?

Rojana Fruits aur Vegetables kyon khani chahiye? Healthy bane rahne ke liye aapko daily green vegetables aur fruits khane ki jaroorat hain. Doctors bhi yehi mante hain ki sehatmand banaye rakhne ke liye diet mein phal aur hari sabziyan jaroor shamil karni chahiye. 

Hari sabziyon mein aise properties payi jati hain, jo aapki body ko bina kisi side-effect se fit bana deti hain. Isi tarah phal bhi bimariyon ko door rakhne mein aapki madad karte hain. 


Green Vegetables aur Fruits ko khane ki salah duniya ke lagbhag sabhi doctors dete hain. Isliye Go Green healthy rahne se liye sabse best tarika mana jata hain. Ek study se yeh bhi maloom hua hain ki Hari sabziyan aur phal khane se heart se related disease hone ka khatra kafi kam ho jata hain. 

Kai log yeh sochte hain ki sea food aur meat aadi mein hari sabziyon se jyada nutrients paye jate hain, to dosto aise mein in logo ki soch kafi hi galat hain. Kyonki hari sabziyon ko khane se body ka fat aur cholesterol nahi badhta hain aur inhe hajam karne mein sharir ko jyada mehnat karne ki bhi jaroorat nahi padti hain. Aaiye jante hain ki rojana Hari sabziyan aur Phal kyon khane chahiye? Why Eat Green vegetables & fruits in daily diet. 


Hari sabziyan aur phal khane ke fayde :- 


• Khoon badhta hain 


Agar body mein blood ki kami ho gyi hain to Palak jaisi hari pattedar sabzi khane se kafi fayda hota hain. Isse sharir ko iron bharpoor matraa mein milta hain, jisse sharir mein naya khoon banta hain. Iske alawa Hari pattedar sabziyon mein Magnesium paya jata hain, jo blood pressure ko control mein rakhta hain. 


• Anti-Oxidants ka khazana 

Green Vegetables aur Fruits mein Anti-Oxidant bahut hi badhiya matra mein paye jate hain. In Anti-Oxidants ki wajah se body ki immunity strong banti hain. Iske alawa hari sabziyon aur phalon mein Anti-Bacterial gun bhi paye jate hain. 


• Blood pressure kam kare 


High Blood pressure se joojh rahe logo ko hari sabziyan jaroor khani chahiye. Isse unka blood pressure kam hota hain aur unhe kafi araam milta hain. 


• Motapa door kare 

Hari sabziyan khane se body mein fat nahi badhta hain aur aap hamesha fit & fine bane rahte hain. Ek Study ke mutabik jin auraton ne Beans ko khaya, unhe Meat khane wali auraton ke mukable jyada healthy paya gya. Iske alawa beans khane wali ladies mein meat khane wali ladies ke mukable cancer aur dusri bimariyan hone ka khatra 33% tak kam paya gya. 


• Cholesterol Level control mein rakhe 

Avocado ek aisa fruit hain, jise khane se cholesterol level control mein rahta hain. Isme fat bahut hi kam hota hain, jisse ise khane se body mein cholesterol nahi badhta hain aur aap hamesha healthy rahte hain. 

• Cancer se bachaaye 


Hari Sabziyon aur phalon mein aise gun paye jate hain jo body ko andar se strong bana dete hain. Inme Vitamin C bhi kafi acchi matraa mein paya jata hain jo sharir ko cancer jaisi janlewa bimari se bachaane mein madad karta hain. Isliye hari sabziyo aur phalon ke sewan se cancer se ladne mein madad milti hain. 


• Blood Lipid level ko kam kare

Edamame ek tarah ka soyabean hota hain jisme protein bharpoor matraa mein paya jata hain. Iske alawa Edamame mein Vitamin A, Calcium aur iron bhi kafi acchi matraa mein paye jate hain. Isse sharir ka motapa nahi badhta hain aur blood lipid level bhi sahi bana rahta hain. Edamame ko Korea, Hawaii aur Japan jaise desho mein namkeen ki tarah khaya jata hain. 


• Motiyabind ke khatre ko kam kare 

Aaj kal motiyabind hone ke mamle kafi tezi ke saath badh rahe hain. Vaise to motiyabind jyada umar mein hone wali bimari hain, lekin aaj kal yeh young age wale logo mein bhi dekhi ja rahi hain. Agar aap motiyabind jaisi aankhon mein hone wali bimariyon se bachna chahte hain to aapko rojana hari sabziyan aur phal jaroor khane chahiye. Kyonki green vegetables & fruits mein Vitamin C hota hain jo aapki aankhon ko motiyabind hone se bachaye rakhta hain. Motiyabind se bachne ke liye sprouts khana bahut hi jyada faydemand mana jata hain.