Header Ads

Hugging ke fayde. Benefits of Hugging in Hindi/Urdu.

Hugging ke fayde. Benefits of  Hugging in Hindi/Urdu.

Kya aapko pata hain gale milne ke bhi fayde hote hain. Pyaar karna, Kiss karna aur gale lagana (Hug Karna) yeh teeno kaam aapki zindagi ko khushnuma bana dete hain. Isse aap healthy bhi rahte hain. Aap ko sambhog karne ke fayde ke bare mein pata hi hoga sex karne se jaha aapki heart rate control mein rahti hain, Metabolism ka production hota hain, Acchi neend aati hain aur aapki umar bhi badhti hain.

Isi tarah hug karne ke bhi apne fayde hain. Gale milne aur jaddu ki jhappi dene se aap jaha sehatmand rahte hain, vahi yeh aapke mentally health ke liye bahut jaroori bhi hain. Agar aap udaas hain aur koi apna aapko gale laga le aur aapko jaadoo ki jhappi de to aapko accha lagta hain.

Hug is hisab se accha mana ja sakta hain kyonki isse aap blood pressure kam karne mein madad milti hain. Yeh aapke andar ke darr ko bhi khatm karne ka kaam karta hain. Hugging karne se aapke dil ko zabardast fayda hota hain.

Agar aap gale lagane ya milne ke fayde ke bare mein janenge to hairan ho jayenge. Isliye jo aap kar rahe hain usay side kariye, aur koi apna saathi banaye, Jise aap hug kar sake aur phir ek healthy life jeena start kare. Aaj hum aapko hugging karne ke 12 fayde ke bare mein batane ja rahe hain.

• Dimaag ko shant kare :- Gale milne aur jadoo ki jhappi dene se dimaag shant hota hain. Agar aapko kisi baat ki tension ho gyi hain to aap apne chahne wale ya phir apne paltu janwar (Pet) ko hug kare, aapka mann shant ho jayega.

• Alingan karne se positive energy milti hain :- Hugging karne se aapke jeevan mein ek nayi positive energy aati hain. Kyonki isse dimaag mein positive reaction hota hain. Yeh hugging ka sabse bada mentally benefit hain.

• Darr door bhagaye :- Hugging karne ya phir touch karne se kai baar marne ka darr bhi kam ho jata hain. Study se pata chala hain ki kisi favorite person ya cheez ko gale lagane se aadmi ko apni life se related fear aadi se mukti milti hain.

• Self-respect badhaye :- Hugging karne se aapka self-respect badhta hain. Yeh aapke self-confidence ko bhi badhaata hain.

• Mood sahi kare :- Jaadoo ki jhappi ka ek fayda yeh bhi hain ki aapme serotonin ki quantity badhti hain, Jisse aap happy rahte hain aur aapki life mein khushiyaan aati hain.

• Heart ke liye accha :- Thand ke waqt apne lover ko hug karne se aapka sharir garm rahta hain. Hugging karne se kai baar aapka dil ek pal ke liye dhadakna band karta hain jo kabhi kabhi fayda pahuchaata hain, Kyonki isse heart ke muscles strong bante hain.

• Muscles relax kare :- Hugging karne se muscles relax position mein aa jate hain. Jadoo ki jhappi lene se tension door hota hain. Yeh aapke body pain ko bhi door karne mein madad karta hain.

• Blood pressure ko kam kare ;- Gale milna aapke blood pressure ko bhi control mein rakhta hain. Agar aap high blood pressure ke mareez hain to turant apne ki pyaare ko hug kare. Isse aapko kafi fayda hoga.

• Boost kare :- Hugging karne se aap turant boost ho jate hain. Yeh oxygen ki matra ko badhata hain jisse akelapna door hota hain. Isliye jab aapko akelapan mahsoos ho to turant apni favorite cheez ko gale lagaye.

• Bimariya door kare :- Hugging karne se kai baar aap bimariyo se bhi door rah sakte hain. Hugging ki garmi, pyaar aur sewa dimaag par gahra asar daalti hain, jisse sharir par asar padta hain aur aap sehatmand rahte hain. Yeh kisi bhi anchahi bimari se ladne mein madad karta hain.

• Thakaavat door kare :- Hugging mein yeh power hoti hain ki aapki thakaavat ko yeh turant door kar deta hain. Suppose kijiye aap thake haare kaam karke ghar par aaye aur apne chote bacche ko hug karne lage, yakin maniye isse aapki thakaavat ka ahsaas kafi kam ho jata hain. Hugging karne se dimaag shant hota hain aur aapka dhyaan oos cheez se hatata hain, jisse aap preshaan hain.

• Nervous system ko balance kare :- Skin ka moisturize aur energy ka asar batata hain ki hugging karne se nervous system balance hota hain. Yeh hain jadoo ki jhappi ka sabse bada fayda.

To der kis baat ki hain apne kisi pyaare ko jadoo ki jhappi dijiye aur khush rahiye aur healthy rahiye.