Header Ads

Khasre ki bimari ko door karne ke gharelu nuskhe. uu

Khasre ki bimari ko door karne ke gharelu nuskhe aur upay. Home Remedies for Measles in Hindi/Urdu.
Khasra Jise english mein Measles kaha jata hain, Saans se related bimari hain. Yeh bimari sardi aur basant ke mausam mein jyada phailti hain. Isliye in mausam mein aapko saavdhaani apnane ki khas jaroorat hoti hain. Yeh bimari mareez ke chhinkne se jyada phailti hain. 

Kya aap Khasre ke gharelu nuskhe aur ilaj janna chahte hain to yeh post aapke liye hi hain. 

Khasre ki bimari amooman baccho ko jyada hoti hain, lekin kabhi kabhi yeh bimari bado ko bhi ho sakti hain. Isse bachne ka sabse accha tarika yeh hain ki bacche ke 1 saal pura hone tak usay khasre ke vaccine lagwa lene chahiye. 

Khasre ke symptom 7 se 14 dino mein dikhayi dene lagte hain. Isme sabse pahle mareez ke chehre aur gardan par lal rang ke chakatte, aankho se paani aana, cough aur sardi, bhookh na lagna jaise lakshan hote hain. 

Kabhi kabhi to high fever 104 degree tak pahuch jata hain. Aaiye jante hain ki Khasre ko door ya khatm karne ke gharelu nuskhe aur upay kya hain? Home remedies for Measles in Hindi/Urdu. 

• Orange Juice ;- Orange juice peene se khasre ko puri tarah se theek kiya ja sakta hain. Jab patient ko bhookh nahi lagti hain to usay santre ka juice peelane se uski bhookh badh jati hain. 

Nariyal Paani aur uski malaai :- Coconut water peene se sharir ki gandagi bahar nikalti hain. Uski malaai mein Anti-Oxidants paye jate hain, Jisse khasra bahut jaldi theek ho jata hain. 

Neem ke patte :- Neem ki pattiyo mein Antiseptic aur Antiviral gun paye jate hain. Iski pattiyo ko garm paani mein mila kar nahana chahiye. Jisse khujali aur rashes theek ho jate hain. Patient ko is paani mein kam se kam 20 minutes tak jaroor rahna chahiye. 

Mulethi :- Mulethi ki jad ka powder bana kar Shahad ke saath mila kar rojana aadha chammach khane se khasra jaldi theek hota hain. 

Baingan ke beej :- Baingan khane se body ki immunity power badhti hain. Agar aap khasre ki bimari se chhutkara paane chahte hain to mareez ko 3 dino tak aadha gram baingan ke beej khilaye. 

Imli ke beej aur Haldi :- Imli ke beejo ka powder banaye aur ise haldi ke saath barabar matra mein mix karke khaye. Is mixture ki rojana 350 gram se 425 gram tak din mein 3 baar khane se mareez jaldi theek ho jata hain. 

• Makkhan :- Agar measles mein bukhaar aata ho to mareez ko makkhan ke saath barabar matra mein shakkar mila kar subah ke waqt  2 chammach chataaye. Isse bukhaar door hoga. 

Karele ki pattiya aur Haldi ki jad :- Haldi ki jad ka powder bana kar usay honey ke saath mix kare aur phir karele ki pattiyo ka juice nikaal kar isme milaye. Is mixture ko chaatne se khasre ki bimari mein fayda hota hain. 

Lahsun :- Lahsun ek asarkari dawaai mani jati hain. Isko pees kar shahad ke saath mila kar khane se khasre ki bimari mein aaram milta hain. 

Jau :- Agar khasre ki bimari mein cough aata hain to jau ka paani peena bahut hi faydemand saabit hoga. Jau ka paani peene se khasre ki bimari door hoti hain. 

Nimbu ka ras :- 15 se 25 ml Nimbu ka ras paani ke saath mila kar peene se khasre ki bimari ko door kiya ja sakta hain. 

Amla powder :- Amle ka  powder bana kar usay paani ke sath piye. Isse khujali aur jalan theek hogi. Aap chahe to is paani se apni body ko bhi dho sakte hain.