Header Ads

Bhindi Khane ke fayde (Benefits of Lady Finger)

BhindiEnglish mein ise Lady Finger bhi kaha jata hain. Iska vanspatik naam Abelmoschus esculentus hain. Bhindi atyant prachalit sabziyo mein se ek hain. Jo gharo ke bagicho se lekar Kheto mein vistaar ke saath ugaai jati
hain. Aksar log ise ek sabzi ke roop mein dekhte hain. Lekin herbal experts ise anek rogo ke upchar ke hetu prayog mein late hain. Chaliye jante hain Bhindi ke kuch chuninda nuskhe ke baare mein . 





1- Wajan ghatane mein sahayak 

Bhindi ki adhkachchi sabzi un logo ke liye faydemand hain jo wajan ghataana chahte hain. Subah Shaam kachchi Bhindi chabana wajan kam karne mein sahayak hain.




2- Protein milta hain

Bhindi ke beejo ko sukhakar , Iska powder bachchon ko khilana bahut hi faydemand hota hain. Kyonki iske beejo mein bahut saara protein hota hain. Jo health ke liye ek tonic ki tarah kaam karta hain.



3- Piliya , Bukhaar mein aaraam

Piliya, Bukhaar aur sardi-khansi mein , Beech se kati huyi bhindi ki phaliya (lagbhag 5 gram) , Nimbu ka ras (1/2 Chammach), Anar aur bhui Amla ki pattiya (5-5 gram) sabhi ko 1 glass paani mein raat ko bhigo de. Subah ise acchi tarah se peeskar din mein 2 baar lagatar 7 dino tak peene se piliya jaise rog ko sirf  1 hafte mein control kiya ja sakta hain



4- Madhumeh ke rogiyo ke liye faydemand hain Bhindi

Madhumeh (Diabetes) ke rogiyo ko aksar bhindi ki adh-Kachchi Sabzi ka sewan karte rahna chahiye. Herbal experts ke anusaar Tazi hari Bhindi bhi bahut badhiya asar karti hain. Saaf, dhuli kachchi bhindi ko dhokar khane se bahut jyada fayda milta hain.


5- Chehre ke daag-dhabbe door hote hain

Kareeb 4-5 Bhindi ko bareek tukado mein katkar ek cup paani ke saath grind kar le aur ise chhankar chehre par laga kar kuch der ke liye sukhne ke liye rakh de. Kareeb 10 minutes baad chehre ko saaf paani se dho le. Isse chehre ke daag-dhabbe door hote hain.

6- Sharirik kamjori ke liye 

Purusho ki Sharirik Kamjori ko Door karne ke liye herbal expert  unhe kacchi Bhindi chabane ki salah dete hain. Agar aapko apni sex power ko badhana hain to aap Kachchi Bhindi ka rojana sewan kare.

   

7- syphilis ke rogi ke liye faydemand

Herbal experts  Bhindi ka kadha taiyaar kar rogi ko dete hain. Kareeb 50 Gram bhindi ko barik katkar 200ml Paani mein ubala jata hain aur jab yeh 1/2 rah jata hain, To ise rogi ko diya jata hain. 1 mahine tak lagatar is kadhe ko lene se rogi ko aaraam milta hain.

8- Tonic ki tarah use hota hain. 

Herbal Expert ke anusaar Kachchi Bhindi Chabane se Virya aur Shukranuon ki matra mein khasi badhotari hoti hain. Sex life ko behtar banane ke liye Bhindi bahut hi faydemand hain. Khas kar ke agar Kachchi Bhindi ka upyog kiya jaye to behtar natize dekhne ko milte hain.