Header Ads

Tarbooz khane ke fayde (Benefits of Watermelon)

WatermelonGarmiyon mein bade hi chaav se khaye jane wale fruits ke list mein tarbooz ka naam sabse aage hain. Ise swadisht, tarotaza aur pyaas bujhane wala phal ke taur par jana jata hain. Bahut saare paushtik tatvo se bharpoor tarbooz sehat ke liye bahut hi faydemand hain. Carbohydrate, protein, fiber aur vitamin A,B aur C ke alawa Isme potassium aur bahut saare minerals jaise Iron, Calcium, Magnesium aur phosphorus bhi
maujood hain. Iske alawa ismein bahut saare enzyme, arginine acid aur natural sugar hain jo hame chust aur durust rakhta hain. 92% Paani aur 6% sugar ki matra ke chalte Tarbooz garmiyo mein pyaas bujhaane ke liye accha option hain. 



Aayiye jante hain Tarbooj khane ke fayde :- 


Motapa kam kare 

Ismein calorie ki matra kafi kam hoti hain , Aur cholesterol ki matra na ke barabar hoti hain, Jo wajan kam karne mein madadgaar hain. Ismein paye jane wala sabse jaroori Ingredients Citruline wajan kam karne ke liye sabse behtar ilaaj hain. 

Saal 2007 mein chhape Journal of Nutrition ke mutabik, Tarbooz mein maujood Amino Acid arginine sharir ke extra fat ko kam karta hain. Aur cardiovascular System ko sahi rakhta hain. Paani ki adhik matra bhookh ko kam karti hain , To is garmi Calorie food ko kare side aur jam kar khaye tarbooz. 


  
Blood pressure control karta hain. 

Tarbooz high blood pressure ko control karta hain. Isme mauzood potassium, magnesium aur Amino Acid ek saath milkar naso ko swasth aur majboot banate hain, Jisse sharir mein sucharu roop se rakt ka pravaah hota hain. Yeh sharir mein Acid aur electrolyte ke beech mein balance ko bhi banaye rakhta hain. Jisse high blood pressure ki sambhavna kam ho jati hain. Florida state of University ke anusaar, Jo log Mote hote hain, Unme High blood pressure ki samsya aam hoti hain. Aise logo ke liye tarbooz ek kargar upay hain. Rojana 1 Glass tarbooz ka juice peene se high blood pressure ko control kiya ja sakta hain. 



Sharir mein paani ki matra banaye rakhta hain. 

Sharir mein paani ki kami nahi hone deta hain. Ismein kai prakar ke hydration karne wale tatv jaise Calcium, Magnesium , Potassium aur sodium itni matra mein hote hain ki agar aap pura din na paani piye to , Tarbooz iski purti kar deta hain. Saal 2009 mein Abardin Medical University ke mutabik ki Tarbooz aur Tarbooz jaise kai phal Jime Namak, Minerals aur Natural Sugar ki matra payi jati hain, Vo paani se jyada sharir ko fayda pahuchate hain. Isliye garmiyo mein 2 se 3 glass tarbooz ka juice peena faydemand hota hain. 

Aankhon ko swasth rakhta hain. 

Tarbooz aankhon ke liye bahut hi faydemand hain. Beta-Carotene ka accha source hone ke karan Yeh sharir ko Vitamin A ki supply bharpoor matra mein karta hain. Yeh aankhon ki roshini ke liye bahut accha hain. Vitamin A ke saath ismein maujood lycopene Aankhon ke retina ke kai prakar ke rog ratondhi, Motiyabind se bachata hain. Iske alawa Tarbooz Vitamin C, lutein aur zeaxanthin aankhon ko swasth rakhne ke saath inhe infection se bhi door rakhta hain. Rojana ek cup tarbooz khane se aapki aankhe swasth aur chamakdaar rahti hain. 


Mood theek karta hain 

Yeh baat sach hain ki, Vitamin B6 ke khazane se bharpoor Tarbooz khane se dimaag fresh bana rahta hain. Saath hi Vitamin C chehre aur sharir par pad rahe free radicals ko door karta hain, Jo depression aur irritation ka karan hoti hain. Yeh hormones ko  balance karta hain, Taki kharab mood sahi ho sake. Tarbooz ke kuch tukde rojana khane se aap tanav jaisi samsyaon se koso door rah sakte hain. 



Kidney ko healthy rakhta hain

Tarbooz aankhon ke saath-saath hamari kidneys ke liye bhi bahut faydemand hain. Yeh body se sabhi faltu toxins ko bahar nikaalkar Liver ko saaf karta hain. Jisse Kidney sucharu roop se apna kaam karti hain. Yeh blood mein mauzood uric acid ki matra ko bhi kam karta hain. Tarbooz khane se usme mauzood tatv hamari pachan kriya ko sahi rakhte hain aur anavsyak fluids ko banane se rokte hain. Yeh kidney ki sujan aur jalan ki samsya ko door karta hain, Jo jyadatar Stone banne ka karan hoti hain. 

Agar aapko urine se related koi bhi samsya ho to aap tarbooz khaye ya uska juice piye. Isse aapki samsya jaldi hi khatm ho jayegi.


Dil ko swasth rakhta hain.

Tarbooz khakar aap apne dil ko bhi swasth rakh sakte hain. Ismein mauzood potassium aapke dil ki raksha karta hain. Iske alawa ismein maujood Amino Acid, Cituline aur arginine rakt ke parvaah ko sucharu roop se chalate hain. 


Saath hi lycopene , Beta-carotene aur Vitamin C cholesterol ki matra ko kam karte hain aur kai prakar ki dil ki bimariyo se bachate hain. Swasth dil aur dimaag ke liye tarbooz ka sewan kare, Isme paye jane wale Anti-oxidants, Low Fat aur cholesterol sharir ki sabhi jaroorato ko pura karte hain. 


Cancer se ladta hain. 

Tarbooz cancer jaisi bimari mein ladne mein bahut hi faydemand hota hain. Lycopene aur kai prakar ke dusre Anti-oxidants Cancer ki bimari se ladne ke saath hi unse bachate bhi hain. Kai research se yeh pata chala hain ki Lycopene protest, Breast, Lung, Colon aur endometrial cancer ki sambhavna ko kafi kam kar deta hain. Vitamin A aur C alag-alag cells ki raksha karke free radicals ki samsya se nijaat dilane mein mahatvpurn bhoomika nibhate hain.


energy badhata hain 

Rojana iska sewan karne se lag-bhag 23% energy isse milti hain. Vitamin B6 aur B1 ko samete huye yeh sharir mein mauzood energy level ko banaye rakhta hain. Magnesium, Potassium , Vitamin C aur Beta Carotene yeh sabhi natural energy ke source hain, Jo tarbooz mein paye jate hain. 

To agli baar aap jab bhi kamjori mahsoos kare to kuch tukde tarbooz ke kha le. Iske alawa aap Shahad aur Nimbu ke ras ko paani mein mix karke bhi tarotaza rah sakte hain. 


Antioxidants ka kaam karta hain

Tarbooz Antioxidants ka khazana hain jo aapko healthy rakhne ke saath kai prakar ki bimariyo se bhi bachata hain. Vitamin C aur kai prakar ke flavonoids jaise Lycopene, Beta Carotene, Lutein, Zeaxanthin aur cryptoxanthin ka bahut accha source hain. Isse gathiya rog, Asthma , Heart attack aur jalan jaisi bimariyo se koso door raha ja sakta hain. Ultra-violate Kirano ke karan hone wali skin ke damage ko rokta hain, Saath hi hanikarak hawaon se bachata hain. Yeh skin ko kafi samay tak young rakhta hain. Yeh immunity power ko bhi badhata hain, Jisse allergy aur infection jaisi problems nahi hoti hain. 

To der kis baat ki hain aap chahe to ise khaye ya iska juice piye aur dekhiye iske turant hone wale fayde.