Header Ads

Cyber Attack se bachne ke liye Tips.

Cyber AttackInternet ke badhte prabhav ne logo ko kafi suvidha to pradaan ki hain. Lekin iske ult Cyber Crime mein bhi kafi badhotari huyi hain. Personal Data ho ya phir photos, Ye hackers mauka milte hi aapke E-mails account se aham jankariyan chura lete hain. Vaise yeh problem ab bade saharo tak simit nahi rahi, Aajkal chhote saharo mein bhi Cyber Crime ki ghatnaye tezi ke saath badh rahi hain. To aayiye jante hain ki kaise ham apne data ka secure rakh sakte hain. 



1. Jab bhi aap apne smartphone par Wi-Fi ke jariye Net access kar rahe hain. To oos network ki security ya password ke baare mein janch-parakh kar le. Jis Network mein password nahi laga hain, usse apni device ko kabhi bhi connect na kare. 


2. Apne E-mail account ko manage karte waqt savdhaani barte. Kisi bhi anjaan vyakti dwaara bheje gye pop-up , Attachment ya Notification ya kisi link par click naa kare. 


3. Koi bhi website kholne ja rahe hain to hamesha URL ko type karke khole. Sidhe link par click karke kholne se hacking ka khatra bana rahta hain. 


4. Aamtaur par dekha jata hain ki , personally identifiable information (PII) dwara Online request bheji jati hain, Is tarah ki kisi bhi request par koi response na dena hi uchit hain. 


5. Apne social media account ko puri tarah secure rakhe. Kisi bhi information ya photos ko share karne ke baad sirf unhi logo ko tag kare, jinhe aap personally jante ho.


6. Kisi bhi password ko do baar use na kare. Password ko lekar hamesh starkta baratni chahiye aur samay-samay par password ko change karte rahna chahiye.


7. Agar kuch doubt lage to turant authority ko suchit karna chahiye.


8. System aur smartphone ke software ko hamesha update rakhe.


9. Agar aapko koi problem samajh mein aa rahi hain, to Device ko turant internet se disconnect kar de. Iske baad system ko restroe kar de.


10.System ya smartphone mein hamesha anti-virus software install rakhe. Taki kabhi bhi virus attack ho to yeh aapke data ko safe rakh sake.


11. Virus aane par sabhi password ko change kar dena chahiye. Khaskar ke Financially password ko pahle change karna chahiye.


12. Is tarah ki condition mein apne computer ya device ko safe mode mein le jakar restart kar de.

13. Agar aapke saath koi ghatna hoti hain, to apni local police ko iski jankari de.

14. Federal Trade Commission ko jankari de. Taki hackers ke baare mein jankari mil sake.


15. Apni device ya system ko kaam karne ke baad hamesh lock laga ke rakhe.