Header Ads

Muli khane ke fayde (Benefits of Radish)

MuliAaj ham aapko muli ke baare mein bata rahe hain. Jyadatar log muli ko mamuli si sabzi mante hain aur ise khana jaroori nahi samjhate hain. Lekin shayad aap is baat se anjaan hain ki baaki sabziyo ki tarah muli mein bhi kafi paushtik gun hote hain. To chaliye aaj jante hain ki Muli khane se aapko kaun-kaun se fayde ho sakte hain. 



1. Cancer se bachata hain. 

Cancer jaisi ghatak bimari se ladna namumkin hota hain. Ek baar yeh bimari jise ho jaye, usay ilaj ke bawjood bach pana mushkil hota hain. Lekin kuch aisi cheeze hain jinhe khane se is bimari se bacha ja sakta hain. Muli bhi ek aisi cheez hain. Cancer se bachne ke liye Muli ko apni diet mein shamil kare. Muli mein Vitamin C hone ke karan Anti-oxidant ki matra bharpoor hoti hain.


2. Blood pressure ko sahi rakhna 

Muli Anti-Hypertensive hoti hain jo High blood pressure ko control karne ka kaam karti hain. Muli mein potassium hota hain jo sharir mein Sodium aur potassium ke level ko sahi rakhta hain.



3. Sugar hone par 

Sharir mein insulin ki matra badhne par hi sugar badhta hain. Diabetes ke mareez ko mittha khane aur pachane mein dikkat hoti hain. Aise mein diabetes ke mareez muli ko jaroor khaye. Isse Insulin nahi badhega aur Sugar level control mein rahega.


4. Wajan kam karne ke liye 

Muli mein kam calorie hoti hain aur fiber adhik matra mein hota hain. 100 Gram Muli mein 16 Calorie hoti hain. Agar aap dieting kar rahe hain to muli jaroor khaye.



5. Asthma ke mareez ke liye

Jin logo ko asthma ki dikkat hoti hain, Unke liye muli behad faydemand hain. Saath hi, yeh mausam ke anusaar Swash nali mein hone wali allergy ki roktham bhi muli karti hain. 


6. Khubsoorati ka raaz

Muli mein vitamin c aur Anti-oxidants hota hain, jo Skin ko radicals se free rakhta hain. Skin ke daag-dhabbe khatm karne ke liye muli ko gheeskar chehre par lagaye. Isse skin glow karne lagti hain.



7. Payria se mukti

Paayiria se preshan log muli ke ras se din mein 2-3 baar kulla kare aur iska ras piye to labh hoga. Muli ke ras se kulla karna, Masoodo-daanto par malna aur peena daanto ke liye bahut hi labhkari hain. Muli ko chaba-chaba kar khane se daant aur masude swasth rahte hain.



8. Kabz hone par 

Kabz se preshan hain to muli par nimbu laga kar subah ko khaye, Labh hoga. Bhojan mein Muli Salad ke roop mein le to aur labh hoga. Subah-shaam muli ka ras (Juice)  peene se purane kabz mein bhi labh hota hain. Is dauran tala-bhuna bhojan na khaye, Balki khichadi, daliya aadi khaye.

9. Daanto ki chamak ke liye 

Muli khane se raktvikaar door hote hain. Skin ke Daad-dhabbe hatate hain. Daanto par peelapan ho to Muli ke tukde par Nimbu ka ras lagakar Daanto par dheere-dheere malne se daant saaf ho jate hain. Iske alawa, Muli ko chhote-chhote tukde kaat kar Nimbu ka ras mila kar dheere-dheere chabaye. Thodi der baad ise ugal de. Aisa niyamit karne se daanto par chadhi peeli parat hat jati hain.

10. Kidney ko healthy banaye rakhne ke liye 

Muli mein diuretic gun hote hain, Jo kidney ko healthy rakhne mein madad karta hain. Muli body se gande padarath ko bahar nikalne mein madad karta hain. Isse body ander se saaf rahti hain.