Header Ads

Machar ke kaatne par khujali se bachne ke liye lagaye yeh natural cheeze.

Macchar kaatne par kya kare.Macchar (Mosquito) ke kaatne ke baad aapko khujali ki samsya ho jati hain. Is Mosquito bites ke baad itch (Khujali) bahut jyada hoti hain. Aaj hum aapko batayenge ki machar ke kaatne ke baad kaun-kaun si natural cheezo ko laga kar aap Macchar kaatne par hone wali khujali (Itch) se rahat pa sakte hain aur inke upay kya hain. Agar aap maccharo se bachne ke liye Deet (ek tarah ka lotion) ka istemal karte hain to ho sakta hain isse aapko kuch nuksaan uthana pade. Maccharo ke kaatne se hone wali khujlahat se shayad aap chain se so bhi na paye. Agar aap khujlayenge to ho sakta hain turant aaram mil jaye, Par baad mein jalan bhi hogi. Jalan hone par aap oos jagah ko aur jyada khujlayenge. Par sabse kharab situation oos waqt ban jati jab oos jagah se khoon nikalne lagta hain aur naakhoon ki gandagi ke karan infection hone ka khatra paida ho jata hain. 

Agar aap maccharo ke katne se pareshan hain to aaiye hum aapko batate hain ki khujlahat se kaise aaram paya jaye. Inme se jyada upay traditions par based hain aur iske peeche koi scientific reason nahi hain. Halaki jyadatar logo ka manana hain ki yeh upchar kafi asardar hain. Aise mein inhe ajmane se harz hi kya hain. Aaiye jante hain Macchar katne par kya kare aur kya lagaye.

1. Namak (Salt) ;- Turant aaram paane ke liye machar ke kaatne wali jagah ko paani se bhigo de aur oos par aaram se Namak ragade. Isse bhi accha yeh hoga ki agar aap samunder ke kinare hain to khaare paani se naha le. 

2. Barf (Ice) :- Sujan aur khujali ko door karne mein barf kafi asardar sabit ho sakta hain. Agar sharir par maccharo ke kaatne ke nishaan bahut jyada ho to thande paani se nahaye. 

3. Toothpaste :- Kaate gye jagah par Peppermint toothpaste lagane se bhi khujali (itch) mein aaram milta hain. 

4. Kele ka chhilka :- Kele ke chhilke mein sugar paya jata hain, Jo kaate gye jagah se liquid ko bahar nikaalne mein madad karta hain. Isliye Kele ke chhilke ko androoni hisse ko infected skin par ragadne se aaram milta hain. 

5. Tea Tree oil :- Yeh ek natural itch-guard hain, Jo ki machar ke kaatne par oos jagah par lagaye, yeh aapko khujali se rahat to dega hi saath mein iski sujan bhi kam kar dega. 

6. Nimbu ka ras :- Nimbu mein Anti-bacterial aur Anti-Microbial gun paye jate hain. Infected jagah par taza nimbu ka ras lagane se khujlahat kam hoti hain aur infection bhi nahi hota hain. Iska istemal tabhi kare jab aapko bahar na jana ho, Kyonki suraj ki roshini ki wajah se funsi ho sakti hain. 

7. Spirit :- Spirit lagane se khujali se aaram milta hain. Aap apne First Aid box se Spirit nikalne aur usay macchar katne wali jagah par lagaye aur phir acchi tarah saaf kare. Spirit ko "Rubbing alcohol" bhi kaha jata hain. Isse khujlahat se rahat milti hain. Agar aapke paas Spirit nahi hain to Sabun aur Paani se dhona bhi kargar rahega. 

8. Baking soda aur Witch Hazel :- In dono ka mota paste bana kar kaatne wali jagah par 15 minutes tak lagaye. Baking soda mein ek Alkaline compound paya jata hain, Jo skin ke PH ko diffuse karne mein madad karta hain. Agar aapke paas hazel na ho to paani ka istemal aap kar sakte hain.

9. Seb ka sirka :- Nahane ke dauran paani mein Seb ka sirka mila le. Isme paya jane wala Molic Acid khujlahat mein aaram dilata hain. Agar aap naha nahi sakte hain to macchar ke kaatne wali jagah par Seb ka sirka rooi ki madad se laga sakte hain. .

10. Lar :- Ise aap ghinauna ya ganda na samjhe. Ungli par thoda sa lar lagaye aur infected area par lagaye. Isse kafi aaram milega.

11. Kaate huye jagah par zor-zor se thappad mare :- Yeh thoda  sa atpata sa lag sakta hain, Par yeh kafi asardar hain. Thappad marne se dimaag khujlahat aur dard mein confuse ho jata hain.

12. Aloe vera :- Taza Aloe Vera ka thandapan khujali se aaram dilata hain. Agar macchar kaatne ki jagah pr baar-baar khujlane se khoon nikal jaye to Aloe Vera ke patto ka gel uspar lagaye, yeh usey bhi theek kar deta hain.