Header Ads

Paani mein gir gya hain mobile to apnaye yeh tips.

Phone in WaterYoung generation ke liye smartphone sabse jaroori device banta ja raha hain. Aise mein iski dekhbhaal karna bhi utna hi jyada jaroori hain. Aksar dekha jata hain ki , Smartphone kanhi paani mein gir jata hain, to Kabhi-kabhi baarish mein bheeg jata hain. Jiske chalte handset ke kharab hone ka darr laga rahta hain. To aaiye jante hain kuch tips jo bheege huye phone ko ek baar phir bana denge smart .....



1. Check your Battery Stickers :- Maket mein aise bahut kam smartphone honge jo water proof hain. Jyadatar companies waterproof smartphone nahi banaati hain. Aise mein kabhi bhi smartphone bheegta hain, to sabse pahle uski battery ko bahar nikalna chahiye. Battery ko check karke usay sukhana chahiye. Halaki agar Battery mein paani gya hain, to usme lage tinny sticker ko check karle. Jab phone banaya jata hain , to usme Battery ka sticker White rakha jata hain aur jab yeh paani ke sampark mein aata hain, to yeh pink ya red Colour mein badal jata hain. Agar aapka phone bhiga hain to sabse pahle battery mein lage sticker ko check karle. 

2. Switch Off the handset Immediately :- Phone ke bheegte hi usay sabse pahle switch off karde. Iske baad battery, Sim, SD Card nikal kar usay paper towel se savdhani se saaf kare. Iske jitne bhi parts hain, unhe hawa dekar jaldi se sukhane ki koshish kare. Yaha sabse jaroori baat yeh dhyaan rakhni hogi ki paani mein bheegne ke baad mobile ko turant kabhi na chalaye. 

3. Wipe your Phone Thoroughly :- Phone ko mulayam kapde se dheere-dheere agar ho sake, to chhote vacuum cleaner se bhi paani ko sukhaya ja sakta hain. Halaki yeh dhyaan rakhna hoga ki Vacuum Cleaner ko phone ke nazdeek na le jaye, Usse thoda door hi rakhe. Iske alawa Hair dryer ka bhi istemal kiya ja sakta hain. 

4. Keep the phone in a bowl of uncooked Rice :- Phone ke beegne par uska moisture nikalne ke liye sabse accha tarika Chawal ka bowl hain. Ji ha ek bowl mein Sukha Chawal (jo Paka na ho) lekar usme phone ko dal de. Halaki yaad rahe ki phone chawal se pura dhaka ho. Ise kareeb ek puri raat aise hi rakhe rahe. Aapko bata de ki Chawal mein Hygroscopy property hoti hain, Jo moisture ko observe karne mein kaam aati hain. 

5. Wait for 24 Hours :- Batate chale ki , Phone ka pura moisture sukhne mein kafi samay lag sakta hain. Aise mein apne phone ko 24 Hours se pahle restart na kare. On karne se pahle Sabhi parts aur compartment ko check karle, taki kanhi moisture na rah gya ho. Ab agar phir bhi phone nahi chalta hain to , Najdeek ke Service center par dikha lena chahiye. 

6. Blow Dry : - Vaise aamtaur par paani sukhane ke liye hawa jaroori hoti hain. Lekin Bhige huye phone ko kabhi bhi pankhe, cooler aur AC aadi ki direct hawa nahi deni chahiye.