Header Ads

Kya subah khali pet chai (tea) peena chahiye?

Kya subah khali pet chai (tea) peena chahiye?
Hum sabhi logo ki zindagi ka aham hissa ban gyi hain chai. Kai logo ko subah uthate hi Bed tea chahiye hi hoti hain, Aise mein mann mein ek swaal hamesha hi uthata hain ki kya khali pet subah chai peena chahiye ya nahi?

Ji haan, is swaal ka jwaab hain, Nahi subah khali pet chai nahi peeni chahiye. Aaiye jante hain ki Morning ke time khali pet chai kyon nahi peena chahiye? Khali pet chai peene ke kya nuksan ya side-effects hain?

Chai (Tea) se jude common question aur unke answers :-



Kya doodh ki chai peene se sehat ko nuksaan hota hain?

Ek research mein yeh paya gya ki jo log khali pet doodh wali chai jyada peete hain, unhe thakaan jyada mahsoos hoti hain. Chai mein doodh milane se Antioxidants ka asar khatm ho jata hain.


Chai ke sath Biscuit khane se kya hota hain?

Chai ke saath Biscuits ya kisi dusri cheezo ko khane se pet Chai ko acchi tarah se hajam kar leta hain. Dusri aor tea ke saath Namkeen ya meetha khane se body ko sodium milta hain, jisse ulcer nahi hota hain.


Kya Khali pet chai peene se matli aati hain?

Tea mein dher saara Acid paya jata hain jise morning ke time khali pet peene se pet ke bile juice par effect padta hain. Isliye kai baar empty stomach tea peene se ulti ya matli hone ki problem ho sakti hain. Isliye kai logo ko subah chai peena accha nahi lagta hain.


Kya chai peena gandi aadat hain?

Nahi, Chai peena gandi aadat to nahi hain. Lekin Chai mein Tannin hota hain, Specially gahre rang wali chai mein. Aise mein veh aapke khane mein mauzood Iron ke saath react kar sakti hain. Isliye Lunch ke baad chai nahi peena chahiye.


Kya Black Tea nuksaandeh hoti hain?

Agar chai mein doodh na milaya jaye to veh sehat ke liye bahut hi faydemand hoti hain. Isse motapa kam hota hain. Lekin bahut jyada Black tea peena bhi accha nahi hain, yeh direct pet par asar karti hain.


Kya Chai cancer paida karta hain?

Ek research mein yeh baat saamne aayi hain ki jo purush (men) din mein 5 cup Tea peete hain, unme Prostate cancer hone ka khatra jyada rahta hain. Isse pahle kai researches mein yeh dawaa kiya gya hain ki Chai peene se cancer ka khatra kam hota hain. Yani ki chai peena sahi ya galat ispar abhi bhi kuch clear nahi ho saka hain. Lekin ek limit mein isko peena aapko healthy rahne mein madad karta hain, lekin jaroorat se jyada chai peena aapke liye nuksaandeh hi hoga.


Kadak chai khali pet peene se kya hoga?

Khali pet Kadak Chai peene se pet par direct nuksan pahuchata hain. Kadi chai ko peene se pet mein ulcer aur acidity ho sakti hain.


2 Different Tea ko ek saath mila kar peene se kya hoga?

2 alag-alag kism ki chai ko ek saath mila kar peene se aapko nuksan hoga. Ek research se yeh pata chala hain ki 2 different types ki tea ko ek saath mila kar piyenge to uska asar bahut tez hoga aur aapko aisa mahsoos hoga ki aap par nasha chadh gya hain. Aapko chakkar aur seerdard ki shikayat ho sakti hain.