Header Ads

Chawal ka paani ya maand peene ke fayde (Benefits of Rice Water)

Chawal ka Maand ya Paani (Rice Water)
Uble Chawalo ka paani bahut hi jyada faydemand hota hain. Ise aam bol-chal ki bhasha mein Maand (Mand) kaha jata hain. Chawal ke maand (Rice Water) peene ke fayde ke baare mein shayad hi aap jante honge. Jitna yeh paani health ke liye badhiya hain, utna hi yeh skin ke liye bhi upyogi hain. Chawal ko khule bartan mein pakaane wale log usse nikalne wale paani ko fenk dete hain, toh wahi kuch log iss paani ka istemal starch ke roop mein bhi karte hain. Gadha safed sa dikhne wala yeh paani kai saari bimariyo mein dawa ka kaam karta hain. Kai saare Minerals aur Protein ka khazana chawal ka maand pet ke liye bahut hi faydemand hota hain.

Kaise banaye Chawal ka maand ?

Chawal ka maand banane ke liye chawal banate samay hi thodi jyada matra mein paani daal de. Chawal ke pakne ke baad bache huye paani ko kisi saaf bartan mein nikaal le. Is paani mein halka sa Nimbu aur Namak mila kar pee le.

Chawal ka maand (Pani) peene ke fayde :- 

1. Dimaag ke liye faydemand :- Chawal ka paani peene se dimaagi vikas aur sharir shaktishali hota hain. Saath hi yeh Alzheimer rog ko rokne mein bhi madad karta hain. Isliye agar aap dimaag tez karna chahte hain toh chawal ke paani ko bekar samajh kar na phenkiye.

2. Dehydration se bachaav :- Garmi ke dino mein jyada paseena nikalne se body mein nutrients aur paani ki kami ho jati hain. Jise door karne ke liye log cold drinks aur juice peena pasand karte hain. Chawal ka maand peekar bhi paani ki kami ko pura kiya ja sakta hain.

3. Pet ke liye faydemand :- Jin logo ko aksar pet ki samsya rahti hain, aise kamjor pet wale logo ke liye chawal ka maand bahut hi faydemand hota hain. Chawal ka maand khane se khana pachane mein asaani hoti hain. Chawal mein doodh mila kar 20 Minutes tak dhak kar rakh dijiye, Phir usay khayiye jyada fayda hoga. Iske alawa Chawal ka paani diarrhea aur kabz se turant rahat deta hain.

4. Dast ka ilaj :- Isse bahut hi kam log wakif honge ki chawal ke maand mein mauzood nutrients baccho se lekar bado tak ke ilaj mein bahut hi faydemand hota hain. Chote baccho ke saath aksar dast ki shikaayat bani rahti hain, Ise rokne ke liye unhe liquid diet ke taur par chawal ka maand pilaye. Yeh bahut jaldi asar karta hain.

5. High blood pressure ko control kare :- Chawal ka paani high blood pressure ko control karne mein madad karta hain. Chawal mein sodium kam hone ke karan high blood pressure aur hypertension ke mareezo ke liye acchi diet mana jata hain.

6. Energy se bharpoor :- Chawal ka maand Carbohydrate se bharpoor hota hain jo body ko energy deta hain. Khali pet 1 glass chawal ka maand pee lene bhar se din bhar energy bani rahti hain aur thakaan mahsoos nahi hoti.

7. Kabz ka ilaj :- Chawal ke maand mein fiber bharpoor matra mein paya jata hain jo digestion ko sahi rakhta hain, Jisse kabz ki problem nahi hoti hain aur agar kabz ki shikayat hain toh iske 1 se 2 baar istemal karne se isse rahat mil jati hain. Iske sewan se good bacteria bante hain jo pet ko healthy rakhne mein madad karte hain.

8. Cancer se bachaav :- Chawal ka paani peene se cancer jaisi janlewa bimari se bhi rahat payi ja sakti hain. Scientist ka manana hain ki chawal mein tumor ko dabane wale tatv dekhe gye hain aur shayad yehi aanto ke cancer se bachav ki wajah hain.

9. Skin ko glowing banaye :- Tavcha (Skin) ki chamak badhaane ke liye chawal ke paani ka istemal kiya ja sakta hain. Aapko nuksaan pahuchane wale cosmetics ka use karne ki jaroorat nahi hain, Kewal chawal ke paani se aap ujali aur chamakdaar skin paa sakte hain. Iske liye aap cotton ko chawal ke paani mein dubo kar ise chehre par laga kar chamkeeli tavcha prapt kar sakte hain.

10. Baalo ke liye faydemand :- Baalo ke liye chawal ka paani bahut hi faydemand hota hain. Agar aap patle aur bejaan baalo ki problem se preshan hain toh chawal ke paani se baalo ko dhoye. Chawal ke paani se baalo ko dhone se baal ghane hone ke saath saath baalo mein chamak bhi bani rahti hain. Chawal ke paani ko apne baalo mein 20 minutes tak laga kar chhod de. Phir shampoo aur conditioner se dho le. Aap mehnge treatment ke bina paa sakte hain, sunder aur chamakeele baal.

11. Viral Infection ka ilaz :- Seasonal bimariyo mein bukhaar aur ulti ke saath dast aane ki samsya aam baat hain jisse sharir kamjor hota jata hain. Bukhaar hone par sharir mein paani ki kami bhi hone lagti hain, Jiske liye doctor juice peene ki salah dete hain. Bukhaar se jald rahat paane ke liye chawal ka paani peena bahut hi faydemand rahega kyonki isme mauzood nutrients seasonal bimariyo se jald chutkara dilate hain.