Header Ads

Cheeku khane ke fayde . Benefits of Sapota.

Cheeku FruitsCheeku guno se bharpoor aur bahut hi swadisth phal hain. Garmi ke mausam mein iska sewan vishesh roop se labhdayak hota hain. Chiku mein 71% paani, 1.5% Protein, 1.5% Fat aur 25.5% Carbohydrate hota hain.

Saath hi isme Vitamin A aur Vitamin C ki bharpoor matra payi jati hain. Chiku mein 14% sharkra bhi hoti hain. Isme phosphorus aur lauh tatv kafi matra mein hote hain. Isliye khana khane ke baad Cheekoo khane se anek labh hote hain. Aaj ham aapko bata rahe hain Chikoo khane ke aise hi kai fayde ke baare mein.

Cheeku (Chiku, Cheekoo, Chikoo) khane ke fayde :- 


1. Aankhon ke liye faydemand :- Cheeku mein Vitamin A pryapt matra mein paya jata hain, Isliye iske sewan se aankhen umar bhar swasth rahti hain aur aankhon ki samsyaein door hoti hain.



2. Rakhta hain energy se bharpoor :- Chiku mein Glucose acchi matra mein paya jata hain, jo sharir ko turant energy deta hain. Isliye garmi mein roj Cheekoo khana chahiye. Isse body mein energy bani rahti hain.


3. Bimariyo se bachata hain :- Cheeku mein Tanins paya jata hain. Isliye yeh kabz, dast aur Anemia jaisi bimariyo se sharir ka bachav karta hain. Isse aanto ki shakti badhti hain. Saath hi, Dil aur Gurde se judi bimariyo mein bhi Ramban hain.

4. Jhurriya kam kare :- Cheeku mein Anti-oxidants acchi matra mein paye jate hain. Yeh free radicals ko khatm kar deta hain.


5. Cancer se bachata hain :- Cheeku mein Vitamin A aur B mauzood hota hain. Isme Anti-oxidants, Fibers aur anya poshak tatv paye jate hain. Iska niyamit sewan karne se yeh Cancer rodhi ka kaam karta hain.

6. Haddiyo ke liye hain faydemand :- Cheeku mein Calcium, Phosphorus aur Iron paya jata hain. In tatvo ki acchi matra hone ke karan yeh haddiyo ko majbooti pradan karta hain aur unhe bimariyo se bachata hain.


7. Ise khane se kabz door hoti hain :- Cheeku mein Fiber bahut adhik matra mein paya jata hain. Isme acchi matra mein Laxatives bhi paya jata hain, jo kabz se rahat dilata hain. 


8. Pregnancy mein cheeku khane ke fayde :- Cheeku mein Carbohydrate aur jaroori poshak tatv bharpoor matra mein paye jate hain. Isliye Garbhvati aur doodh pilane wali maaon ke liye cheeku bahut hi faydemand hota hain. Cheeku Pregnancy ke dauran hone wali problems jaise kamjori, Mitli, chakkar jaisi dikkato ko bhi kam karta hain. 

9. Khoon se judi bimariyo mein dawa ka kaam karta hain :- Cheeku mein Hemostatic properties payi jati hain. Isi karan yeh body mein blood ke level ko sahi banaye rakhta hain. Cheeku ke sewan se ghaav jaldi bhar jate hain aur Bawasir bhi theek ho jati hain. 


10. Anti Viral aur Anti Bacterial hota hain ;- Chikoo mein Polyphenols antioxidants hone ke karan isme kai Anti-Viral, Anti-Prestige aur Anti-Bacterial gun paye jate hain. Yeh sharir ko bacteria ke infection se bachata hain. 

11. Diarrhea se dilaye rahat :- Cheeku Diarrhea mein bahut hi faydemand hota hain. Paani mein ubaal kar Cheeku ka kadha bana le. Is kadhe ko peene se dast mein aaram milta hain. Yeh Bawasir aur pechish mein bhi rahat deta hain. 

 12. Dimaag ko rakhta hain Shant :- Cheeku dimaag ko shant rakhne mein madadgar hain. Yeh dimaag ki tantrikao ko shaant rakhta hain aur tension ko door karne mein madad karta hain. Is prakar yeh Chinta, Depression, Anidra se pidit logo ke liye bahut hi faydemand hain. 

13. Sardi ko door karta hain :- Sardi aur khansi mein cheeku dawa ke taur par kaam karta hain. Yeh seene se cough aur balgam ko nikal deta hain. Purani khansi mein rahat deta hain. Is prakar yeh sardi khansi se hame bachata hain. 

14. Pathari bahar nikal deta hain :- Gurde ki pathari hone par cheeku ke beej ko peeskar khane se Gurde ki pathari (Kidney Stone) peshab ke dwara bahar nikal jati hain. Saath hi yeh Kidney ko rogo se bhi bachata hain. 

15. Wajan kam karta hain :- Chikoo wajan kam karne mein sahayak hain. Iske niyamit sewan se gastric enzymes control mein ho jate hain. Isliye yeh motape se bachata hain. 

16. Zehareele tatvo ko door karta hain :- Cheeku ek mutravardhak ke roop mein kaam karta hain. Yeh peshab ke jariye sharir se zehareele tatv aur gandagi ko bahar nikalne mein madad karta hain. 

17. Cavity bhar deta hain :- Cheeku mein Latex paya jata hain isliye yeh daanto ki cavity ko bharne ka kaam karta hain. 

18. Skin ko healthy banaye rakhne ke liye :- Cheeku mein Vitamin E paya jata hain, jo aapki tavcha ko nami pradan karta hain. Iske sewan se tavcha sunder aur swasth ho jati hain. 

19. Baalo ko banata hain majboot :- Cheeku ke beej se nikala gya tel baalo ke liye bahut hi faydemand hain. Ise lagane se baal moisturize hone ke saath hi inme nayi chamak bhi aa jati hain. Yeh ghunghurale baalo ke liye bahut hi accha mana jata hain. 

20. Dandruff door bhagaye :- Cheeku ke beej ka paste bana le aur usay Arandi ke tel saath milaye. Is mishran ko seer ki tavcha par lagaye aur agle din baal ko dho le. Isse aapke baal Dandruff free ho jayenge.