Header Ads

Hara Dhaniya ke fayde, Upyog aur Gharelu Nuskhe (Benefits of Coriander Leaves)

Coriander LeavesHara Dhaniya Sabziyo aur jayko ki shobha badhane mein hi upyogi nahi hain, Balki isme kai aushadhiya gun paye jate hain. Hamare bade-buzurg iske guno ko jante thay. Isiliye prachin samay se hi Dhaniye ka upyog Bharatiya bhojan ka swaad badhane ke liye upyog mein laya jata raha hain. Aaj ham aapko batane ja rahe hain Hare Dhaniye ke kuch aise hi khas gun aur unke labh.....




1. Dhaniya ki patti khane se tavcha ki samsyaen door hoti hain. Isme Anti-fungal, Anti-septic, De-detoxifying gun paye jate hain. Isliye yeh khujali ki samsya mein Ramban ka kaam karta hain. Yadi kisi ko Khujali ki samsya ho to Dhaniye ka paste tavcha par lagaye. Yeh tavcha ki alag-alag samsyaon jaise Eczema, Sukhapan aur allergy se rahat dilata hain. 


2. Hara Dhaniya Digestive system ko theek karta hain. Iski Hari pattiya Pitt nashak hoti hain. Pitt ya cough ki shikayat hone par 2 chammach Hare dhaniye ki pattiyo ke ras ka sewan karna chahiye. 


3. Dhaniye ki pattiyo mein Anti-Turmeric aur Anti-Arthritis gun paye jate hain. Yeh Sujan kam karne mein madadgar hota hain, Isliye iske sewan se jodo ke dard mein rahat milti hain. 


4. Iron se bharpoor hone ke karan yeh Anemia ko door karne mein madadgar hota hain. Anti-Oxidants, Vitamin A, C aur kai Minerals se bharpoor Dhaniya Cancer se bachaav karta hain. 

5. Dhaniye ki Chutney bana kar khai jati hain, Kyonki ise khane se acchi neend aati hain. Diabetes ke mareez ke liye yeh to vardaan hain. Yeh insulin badhata hain aur blood ke glucose level ko kam karne mein madad karta hain. 


6. Sharir par hone wali funsi se nijat pane ke liye taza dhaniye ke ras ko Shahad ke saath mila le. Is paste ko tavcha ke prabhavit hisse par lagaye. Kareeb 15 minutes tak is paste ko laga rahne de aur phir thande paani se ise dho le. 

7. Dhaniye mein Vitamin C, Vitamin A, Anti-Oxidants aur Phosphorus jaise minerals paye jate hain. Isliye yeh kamjor aankhon ke liye bhi ek dawa hain. 

8. Dhaniye ke kuch patto ko pees kar paani mein ubaal le. Iske baad kisi saaf kapde se ise chhaan le. Iski kuch boonde aankhon mein dalne se Aankhon ke dard aur paani nikalne ki samsya se nijat milti hain.    


9. 20 Gram Dhaniye ke taze patte le aur usay thode Kapoor ke saath pees le. Ab iske ras ko acchi tarah se nichod le. Jab aap ise Naak mein dalenge to Khoon ka aana turant band ho jayega. Saath hi is paste ko aap apne maathe par bhi laga sakte hain. 


10. Garbhavastha ke shuruvati daur mein kai mahilaye ulti ya mitli ka anubhav karti hain. Aisi stithi mein 1 cup Dhaniye ko 1 cup Chini (Sugar) aur 1 cup Paani ke saath khaulaye (Ubale). Thanda ho jane ke baad iska sewan kare. 


11. Dhaniye ke khushboodar tel mein Citronellol paya jata hain, Jo ki ek behtarin anti-septic hain. Isliye yeh mooh ke jakhm aur chhaalo ke liye faydemand hota hain.