Header Ads

Baalon ke liye kyon best hain Nariyal Tel (Coconut Oil for healthy hairs)

Photo of Coconut Oil (Nariyal ka Tel)Baalon ki sehat ki jab baat aati hain, aapne apni dadi ya nani ko nariyal tel lagane ko kahte huye suna hoga. Jab baal jyada girne lage to Maa kahti hain ki tel nahi lagate ho, usi ka natiza hain. Hamare bade logo ne Nariyal tel ko aise hi nahi faydemand kaha hain, Iske peeche kai karan hain.

Ek to Nariyal ka Tel (coconut oil) bazaaar mein asaani ke saath mil jata hain. Dusra yeh baalon ke liye kafi gunkari mana jata hain. Nariyal ka tel ek aisa tel hain jo baalo se judi har samsya ko door kar sakta hain. Yadi aap janna chahte hain ki Nariyal ka tel aapke baalo ke liye kyon accha hain to yeh post jaroor padhe. To chaliye jante hain Nariyal Tel baalo mein lagane ke fayde ke baare mein ;- 

1. Yadi aapke baal jyada ghane aur baar-baar aapas mein ulajhte hain aur ulajhne ke karan toot jate hain to Nariyal Tel lagaye. Baal nahi ulajhenge. 

2. Nariyal ka tel baalo ki jad ko majbooti deta hain, Jisse baal tootna kam ho jate hain. 

3. Rusi (Dandruff) ki problem aajkal bahut jyada ho gyi hain. Isse chhutkara pane ke liye baalo mein har hafte Nariyal ka tel lagaye. Yadi aap niyamit roop se Nariyal tel ko apne baalon mein lagayenge to aap hafte bhar mein iska chamtkar dekh payenge.

4. Nariyal ka tel baalo mein lagane se uski chamak apne aap badh jati hain aur usme natural shine bhi aa jati hain.

5. Seer mein khujali ki problem ho to Nariyal tel mein Kapoor mila kar lagaye. Yeh samsya khatm ho jayegi.