Header Ads

Daant dard door karne ke gharelu nuskhe (Home remedies for Toothache in Hindi)

Toothache Problem try these easy home remedies.
Daant dard jab hota hain mano jaan hi nikal jati hain, Is daant dard ke karan bolna bhi mushkil ho jata hain  aur to aur khana khane mein bhi bahut preshani hoti hain. Isliye daanto ki dekhbhaal bahut hi jaroori hain. Daant dard (Tooth Ache) mein bahut hi preshani ka samna karna padta hain. Toothache hone ke kai wajah ho sakte hain. Kai baar kuch galat khana bhi daant dard ka karan ban jata hain. Daanto ki theek tarah se safaai na hona ya daanto mein keeda lagne se bhi daant dard ki problem ho jati hain. Daanto mein infection hone ki wajah se bhi daant dard ho sakte hain. Agar aap bhi daant dard se preshan hain to aayiye jante hain Daant dard se nijat paane ke asaan gharelu upaay :-

Burf :- Daanto ke dard wale hisse par 15-20 minutes tak Burf (Ice) se sikayi kare. Din mein kai baar Burf se daanto ko senkne se daant dard se chhutkara milega.

Tea Bag :- Garm paani mein Tea Bags rakhe aur usay dard wale jagah ki sikaai kare, Daanto ke dard mein aaram milega.

Laung (Lavang) :- Mooh mein Laung rakhne se bhi Daant ke dard mein aaram milega. Daant mein tez dard hone par Laung ka Tel lagane se dard se turant aaram milta hain.

Brandi :- Rooi ko Brandi mein duboye aur daanto wali jagah par lagaye. Isse bhi daant dard door hota hain.

Aaloo :- Daanto mein dard ke saath sujan ho to Aaloo chhil kar uski slice oos jagah par 15 minutes tak rakhe, Turant rahat milegi.

Pyaaz :- Roj subah ek kachcha pyaaz khane se bhi daant dard mein aaram milta hain.

Nimbu :- Nimbu Vitamin C ka sabse accha source hain. Daanto ke dard wale hisse par Nimbu ki slice rakh lene se bhi daant dard mein turant rahat milti hain.

Sarso ka tel :- 3 se 4 boond sarso ke tel mein ek chutaki namak daal kar daanto aur masudho par massage kare. Isse na sirf daanto mein aaram milega, balki masudhe bhi majboot honge.

Lahsun :- Lahsun ki ek kali namak mein dubokar chabaye, Daanto ke dard mein aaram milega.

Kali Mirch Powder :- 1/4 chammach Namak mein ek chutki Kali Mirch powder mila kar dard wale hisse par lagaye. Aapko turant aaram milega.

Heeng :- Heeng Daanto ke dard se turant rahat deta hain. Heeng ko Mosambi ke ras ke saath bhigone ke baad dard wale daant ke paas rakhe. Mosambi na hone par aap Hing ko Nimbu ka ras mein dubo sakte hain. Aisa karne se kuch hi der mein aapko daant dard mein rahat milega.

Gargle kare :- Agar aap koi bhi upaay nahi apnana chahte hain to dard wali jagah par garam paani ke senk se aaram milega. Aap chahe to Garam paani se garare bhi kar sakte hain. Garam paani mein halka Namak daal kar garare karna faydemand rahega.