Header Ads

Jalne par kya kare ( Home Treatment for burn)

Burn Treatmein in HindiJab bhi body ka koi part jal  jaye to preshan na ho. Jalne par kya kare? agar aapke mann mein yeh swaal uthe to ghabrane ki jaroorat nahi hain. Iske liye ghar mein mauzood kuch samaano ka prayog kare, Jisse vyakti ko turant rahat mil jaye. Baad mein aap kisi Doctor ke paas ja kar iska ilaj karwa sakte hain. Aaiye jante hain kya-kya veh gharelu nuskhe hain jo jalne par kiye ja sakte hain.

1. Tamatar :- Isme kuch aise tatv paye jate hain, Jise turant lagane se jale huye bhaag par aaraam mil jata hain. Haath jal jane par ek tamatar ka slice kaate aur veh jab tak sookh na jaye, tab tak usay jale huye bhaag par lagaye. Aap hairaan rah jayenge ki aapka haath kitni jaldi sahi ho chuka hain. 

2. Haldi Paste :- Haldi mein lajwaab shakti hoti hain, veh dard ko pal bhar mein sokh leti hain. Haldi ko jale huye bhaag par lagayiye aur sukhne dijiye. Jab yeh sukh jaye to ise dhoyiye aur dubara se paste lagayiye. Aisa baar-baar karne se aapka dard turant door ho jayega.

3. Toothpaste :- Yeh dard ko bahut acchi tarah se door karta hain. Kisi bhi jali huyi jagah par safed toothpaste laga dijiye aur sukhne dijiye. Jaroorat padne par aap ise ek time mein 2-3 baar laga sakte hain. 


4. Ande ki safedi :- Jab skin jal jati hain to usme badi hi tezi ke saath jalan hoti hain. Isi jalan ko mitane ke liye Ande ka safed bhaag lagayiye aur usay kuch der tak sukhne dijiye. Isko kai baar lagana padega jisse dard chala jaye aur daag na pade.


5. Aloe Vera :- Yeh ek jaadui paudha hain Jo ki kai samsyaon mein ahem role ada karta hain. Agar aapke ghar mein Aloe Vera ka paudha hain to uske patte ko kaat kar apne jale huye hisse par turant laga lijiye. Yeh aapko jalan se turant rahat dilayega kyonki yeh thanda hota hain.

6. Baraf :- Agar haath jal jaye to ghar par aapko Barf se acchi aur sasti dawaa aur kanhi nahi milegi. Haath jalne par ise 10-15 Minutes tak ke liye haatho par ragadiye. Yeh jalan ko kam karke sujan ko mita dega. Saath hi daag bhi nahi hoga.