Header Ads

Baalo ki growth badhane wale phal aur sabziya aur unke juice.

Baalo ki growth  badhane  wale phal aur sabziya aur unke juice. Kacchi sabziya, fruits khane ke saath hi juice peena lambe-ghane aur shiny baalo ke secrets hote hain. Lekin experts ki mane toh Lahsun, Pyaaz, Palakd, Dhaniya aur Aloe Vera mein bhi paye jane wale nutrients baalo ki growth badhane mein kargar hain. Itna hi nahi yeh follicles ko bhi healthy rakhne ka kaam karte hain jisse baalo ka jhadna kam hota hain. Toh der kis baat ki hain aaj hi se balki abhi se hi in healthy vegetable juice ko peena shuru kar de.


• Palak :- Sharir mein iron ki kami ko door karne ke liye dietician se lekar doctor tak palak khane ki salah dete hain. Vitamin K, C, Folate, Manganese, Magnesium, Copper aur Beta-Carotene ka khazana palak baalo ki har samsya ko door karne ka behtarin ilaj mana gya hain.

• Dhaniya ;- Palak ki tarah dhaniya mein bhi iron bharpoor matra mein hote hain. Jo sharir mein iron ko balance karke mahilaon mein baalo ke girne ki samsya ko door karta hain. Saath hi copper baalo ke pigmentation ko manage karta hain aur Manganes aur Anti-Oxidants, Flavonoids aur Carotenoids stress ko kam karte hain jo baalo ke jhadne ka sabse bada karan hota hain.

• Amrood :- Amrood mein Vitamin C bahut jyada matra mein mauzood hota hain. Iske alawa isme Anti-oxidants, Carotenoids, Lycopene, Lutein aur Cryptoxanthin paya jata hain jo baalo ko na kewal lamba karta hain balki unhe ghana aur mulayam bhi banata hain.

• Strawberry :- Vitamins ke khazane mein shamil ek aur tasty fruit strawberry , jo immune system ko sahi rakhne ka kaam karta hain aur saath hi hair follicle ko bhi surakshit rakhta hain. Baalo ko ghana, mulayam banane ke saath hi unhe shandaar color bhi deta hain.

• Lahsun :- Anti-Bacterial aur Anti-fungal ki matra liye huye lahsun har tarah ke infection ko door karne mein kargar hota hain. Baalo ki jado se related koi bhi problem hone par Lahsun ka ras scalp par lagana faydemand hota hain. Iske juice ka baalo par malish karna baalo ki sehat ke liye bahut hi accha hota hain. Baalo ko healthy rakhne ka kaam Lahsun mein mauzood Selenium mineral karta hain. Jald asar ke liye kaccha lahsun khana chahiye.

• Pyaaz :- Biotene, Vitamin jaha hair growth ke liye jaroori hota hain, vahi copper pigmentation ke liye. In sabke alawa pyaaz ka anti-bacterial gun kai tarah ke infection ko bhi door karta hain. Baalo ki samsya hone par pyaaz ko seer par gheesane ki salah di jati hain, jisse iska ras jado tak pahuch sake.

 • Kheera :- Baalo ki growth aur majbooti ke liye Vitamin C aur Anti-Oxidants bahut hi jaroori cheez mani gyi hain. Kheera sirf itna hi nahi balki Manganese aur Beta-Carotene se bhi less hota hain. Flavonoids hair follicles ki samsya ko door karta hain aur usay shiny, healthy aur soft banata hain.

 • Kiwi :- Kiwi phal mein Vitamin C mauzood hota hain jo ek behatrin Anti-oxidant mana gya hain. Yeh hair follicles ko bahari dhoop, dool aur pollution se bachata hain, jo baalo ki girne ki sabse badi wajah hoti hain. Vitamin C body ki immunity power ko badhata hain. Kiwi mein Flavonoids aur Carotenoids ki bharpoor matra hoti hain. Iske alawa isme Copper aur Minerals bhi thodi-thodi matra mein mauzood hote hain jo baalo ko pigmentation ke saath hi unke growth ke liye bhi jaroori hain.

• Aloe Vera :- Aloe Vera skin se lekar baalo tak ki healing ka kaam karta hain. Skin ko soft banata hain vahi baalo ko majboot. Bahut se log baalo ko ghana, mulayam aur majboot banane ke liye Aloe Vera juice peete hain. Aloe Vera ki pattiyo mein Vitamin C, E aur Beta-Carotene, Vitamin B1, B2, B3, B6 ke alawa Zinc, Copper aur Iron ki mauzoodgi hoti hain. Iske saath hi Aloe Vera immunity ko badhane ka bhi kaam karta hain. Bahut saare mamlo mein dekha gya hain ki baal ka jhadna kamjor immunity ke karan se hota hain.

• Gajar :- Pyaaz jitna hi Biotin aur Vitamin Gajar mein paya jata hain, isliye ise bhi baalo ki growth ka behtarin source mana ja sakta hain. Saath hi rojana 100 gram gajar khane se 20% tak Biotin ki purti ki ja sakti hain. Isliye baalo ko lamba , ghana karne ke liye gajar ka juice peena faydemand hain.