Kate aur chhile ghaavo ko turant theek karne ke gharelu nuskhe.
Jab aapke sharir ki tavcha par koi ghaav hota hain toh sharir usey theek karne ki prakriya mein lag jata hain. Agar aapke ghar mein bacche hain aur saara din hurdang karte rahte hain toh yeh aapki jimmevaari hain ki unka jhat se ilaj kiya jaye. Tavcha agar chhil ya cut gayi hain, toh oos ghaav ko yun hi khula na chhod kar uspar marham lagana chahiye. Ghaav ya chot ko jaldi bharne ke liye kuch gharelu nuskhe diye ja rahe hain jo kafi asardar hain.
Yeh aise gharelu nuskhe hain , jo aapki kitchen mein mauzood hain. Toh agli baar jab aapko chot lage, toh inka istemal karna na bhoole.
• Sirka :- Yeh bhale hi kati skin par lagane se jalta hain magar yeh ghaav bharne mein bilkul bhi samay nahi leta hain. Iski ek boond rooi par daal kar ghaav par lagayiye.
• Shahad :- Agar tavcha chhil gyi ho ya uspar ghaav ban gya hain , toh tavcha ko turant saaf paani se dho kar uspar shahad ka thoda sa lep lagaye. Agar skin par sujan aa gyi hain toh veh bhi shahad lagane se chali jati hain.
• Tea bag :- Agar ghaav mein khoon beh raha ho toh uspar tea bag laga le. Isse ghaav jaldi bhar jata hain.
• Haldi powder :- Yeh ek anti-septic hain jo infection ko phailne se rokta hain. Jaha bhi cut gya hain vaha par turant hi haldi powder lagaye.
• Chini :- Chini ghaav se rees rahe paani ko bilkul sokh leti hain aur infection ko door rakhti hain.
• Lavender : - Yeh herb ghaav ko aur jyada badhne se rokta hain aur fungal infection ko door bhagata hain.
• Tea Tree oil :- Yeh badi hi Anti-biotic dawa hain, jo ki ghaav ko badi jaldi hi sahi kar deta hain.
• Aloe Vera :- Kate aur Chhile ko turant theek karna hain toh uspar Aloe Vera ka ras laga lena chahiye.
Post a Comment