Header Ads

Aaloo ka Juice peene fayde. (Benefits of Potato juice in Hindi/Urdu.)

Potato Juice (Aaloo ka ras)
Aap Aaloo ka istemal apni sabzi mein toh jaroor hi karte honge. Lekin kya aapne kabhi Aaloo ka juice piya hain? Agar nahi piya toh aaloo ka juice peena shuru kar dijiye. Kyonki Aaloo ka juice aapko deta hain kai dher saare fayde. To jante hain Aaloo ka juice peene ke kya –kya fayde hote hain. (Benefits of Drinking Potato Juice in Hindi/Urdu.)
• Aaloo ka juice baal badhane mein madad karta hain. Aapke baalo ko jaldi bada karne ke liye Aaloo ke ras ka aap mask ke roop mein istemal kar sakte hain. Ek aaloo lekar iska chhilka nikaal le. Iske slices kaat le aur phir ise pees le. Ab isse juice nikaal le aur isme Shahad aur Ande ka safed bhaag mila le. Ab is paste ko sar aur baalo par lagaye. Ise 2 hours ke liye laga rahne de aur phir uske baad shampoo se baal dhoye.

• Agar aap Diabetes se peedit hain toh yeh aapke liye faydemand hain. Blood mein Sugar level ko kam karne ke liye aaloo ka juice labhkari rahta hain.

• Heart ke disease aur stroke se bachne ke liye aaloo ka juice sabse accha upay hain. Yeh naso ki rukavat, heart attack aur tumours ko badhne se rokta hain.

• Research se yeh baat saabit ho chuki hain ki Kacche aaloo ka ras aapko cancer, hypertension aur kidney ke alawa kai tarah ki samsyaon se bacha sakta hain.

• Har din 2 glass Aaloo ka juice peene se kai tarah ke swasthyavardhak labh hote hain, Jaise Cancer, Gastric Ulcer, Diabetes, Kidney, Heart ki problems, Hypertension aur shoulders mein ghaav se bacha ja sakta hain.

• Subah uthakar breakfast se pahle aur sone se 2-3 ghante pahle aaloo ka juice piye. Isse aapki bhookh par control rahta hain aur aapka wajan ghatata hain.

• Yeh aapki immunity ko badhata hain aur saath hi liver se related problems se aapko rahat dilata hain. Aapko healthy banaye rakhne mein madadgar hain.

• Kidney ki bimariyo ka ilaj karne ke liye Aaloo ka juice peene ki aadat dale. Yeh Blood pressure aur Diabetes ko control karne mein help karta hain. Aaloo ka juice mutrashya mein Calcium ko patthari banane nahi deta hain.

• Hepatitis Liver aur Gall Bladder ki gandagi ko nikaalne ke liye Aaloo ka juice kafi faydemand saabit hota hain. Japani log Hepatitis se nijat paane ke liye Aaloo ka juice ka istemal karte thay.

• Aaloo ka juice peene se aap asaani se apne cholesterol ke level ko control mein rakh sakte hain. Yeh aapke sabhi swasthya sambandhi samsyaon ka samaadhaan hain.

• Aaloo ka ras niyamit roop se lene se aapki skin se related sabhi tarah ki problems khatm ho jayengi. Yeh aapki skin ko ander se saaf karke usay poshan deta hain aur saath hi usay chamakdaar banata hain. Ise tavcha par lagane se moohaso se bhi chhutkara milta hain.

Yaad rakhe yeh baate :- 

1. Kacche Aaloo ke juice ko paani ke saath rojana aadha cup piye aur dhyaan rahe ki ise aap khali pet le.

2. Agar aap pet se related problems se jhoojh rahe hain toh Aaloo ka juice na piye.

3. Kuch cases mein isse diarrhea ho sakta hain.

4. Hamesha juice banane ke liye saaf, bina daag wale, Pake aur naye ankoorit aaloo ka hi istemal kare.

5. Aaloo ka juice ka taste badhane ke liye isme gajar ka juice, bicchoo butti, Tejpaat aur spirulina jaise jadi-bootiyo ki isme milaye.