Aaloo Bhukhara khane ke fayde (Benefits of Plum)
Bahut hi kam phal aise hote hain jo khane ke saath saath sehat ke liye faydemand hote hain. aur Plum (Aaloo Bukhara) unhi mein se ek hain. Isme mauzood Anti-Oxidants ki matra kai saari bimariyo jaise Osteoporosis, Aankho ke sukhepan, Cancer, Diabetes aur Motape ko door rakhne ka kaam karte hain. Body mein Cholesterol level ko control karne ke saath cardiovascular health aur sahi Immunity system ko barkarar rakhte hain. Blood ki clotting se bhi bachate hain aur Electrolyte ko balance karta hain, Nervous system ko durust rakhne ke saath hi skin ko kai prakar ke rogo se suraksha karta hain.
Aaloo Bukhara ek Juicy phal hain jo bahut se aakaar aur rango ka bazaar mein milta hain. Takreeban 2000 prakar ke plum puri duniya mein mauzood hain. Ise fresh khane ke saath sukhakar bhi khaya ja sakta hain. Aaloo Bukhare mein mauzood phenols aur flavonoids sehat ke liye har tarike se faydemand hain.
1. Motapa kam kare
Aapko jankar hairaani hogi ki Aaloo Bukhara khane se na sirf motapa door hota hain , Balki motape se judi aur ho rahi kai tarah ki problems se bhi chhutkara paya ja sakta hain. Tamam research ke anusaar Beej wale phalo ke sewan se metabolic rate sahi rahta hain. Isme mauzood Anti-Obesity aur Anti-Inflammatory body mein alag-alag tarike se kaam karte hain, Jo pet ke saath-saath cholesterol , Diabetes aur cardiovascular sambandhi bimariyo ko door karte hain.
2. Anti-Oxidants se bharpoor
Aaloo Bukhare mein Vitamin C aur Phytonutrients jaise Lutein, zeaxanthin , Cryptoxanthin aur Chlorogenic acid mauzood hote hain. Jo Anti-oxidants ke taur par kaam karte hain. Jo radicals ki problems ko door karte hain. Aaloo bukhare mein mauzood tatv motapa kam karne ke saath hi androoni cells ki repairing ka kaam bhi karte hain.
3. Diabetes
Aaloo Bukhare mein Anti-Hyperglycemic tatv diabetes rogiyo ke liye labhdayak hota hain. Ise khane se blood mein glucose ki matra ka balance bana rahta hain. Saath hi isme mauzood Flavonoids diabetes mein jaroori insulin level ko bhi banaye rakhta hain.
4. Osteoporosis ki sambhavna ko kam karta hain.
Sukhe huye Aaloo Bukhare ko khane se Osteoporosis jaisi samsya mein bahut aaraam milta hain, Kyonki iska kaam haddiyo ko majboot banana hota hain. Yeh haddiyo ke banane mein jaroori tissues ki repairing ka kaam karta hain Jisse mahilaon mein Menopause ke dauraan jyadatar hone wali haddiyo ki samsya door rahti hain. Sukhe huye aaloo bukhare mein Potassium ke saath polyphenols bhi paye jate hain jo ovarian ke liye jaroori hormone ke secretion ke liye jimmevar hota hain.
5. Pregnancy mein faydemand
Vitamins aur minerals ka khazana hone ke karan Aaloobukhara ya isse bani kisi bhi cheez ke sewan Pregnancy mein bahut hi faydemand hota hain. Na sirf Maa balki shishu ke vikas ke liye sabhi jaroori tatv isme paye jate hain. Garbhavstha ke dauran aksar mahilaon ko kabz ki shikayat ho jati hain, Isse nipatne ke liye Aaloo Bukhara khaya ja sakta hain. Infection se ladne ke saath hi sehat ke liye jaroori saare tatvo ki purti karne mein yeh sahayak hain.
6. Pachan mein sahayak
Aaloo Bukhara mein pachan ke liye jaroori fiber paye jate hain. Iske saath hi isme Sorbitol aur Isatin tatv bhi maujood hote hain, Jo pachan kriya ko durust rakhte hain. Research ke anusaar Aaloo Bukhara kha kar kabz, Pet ke marod jaisi problems ko door kiya ja sakta hain. Saath hi isse pet ke cancer hone ke khatre ko bhi kafi hud tak kam kiya ja sakta hain.
7. Skin ki dekhbhaal karta hain.
Aaloo Bukhare mein Anti-Oxidants ke saath Vitamin C ki bharpoor matra payi jati hain jo Tavcha ki komalta ke saath hi usay lambe samay tak jawan banaye rakhti hain. Ise khane se chehre ke daag-dhabbo, Keel-muhanso ki samsya se chhutkara paya ja sakta hain. Saath hi yeh tavcha ki androoni roop se safaai karta hain jisse vo healthy bani rahti hain. Jyadatar Skin Care Products mein iska istemal kiya jata hain.
8. Cancer se bachata hain.
Aaloo Bukhara mein cancer jaise janlewa bimari se ladne wale kai saare tatv maujood hote hain. Research se yeh baat samne aayi hain ki ismein ek khas kism ka tatv EPICATECHIN hota hain jo Body mein cancer cells ko banane se rokta hain.
Aaloo Bukhare mein Anti-Oxidants aur phytonutrients ki uchit matra mahilaon mein aamtaur par hone wale Breast Cancer ki sambhavna ko kafi hud tak kam kar dete hain. Saath hi pet, fefde, Ovarian aadi prakar ke cancer ke liye jimmevar cells ko bhi banane se rokta hain.
9. Cholesterol level ko kam karta hain.
Aaloo Bukhara Sukhakar khane se utna hi faydemand hota hain jitna ise fresh khana. Ise khane se ya iska juice peekar cholesterol level ko kafi hud tak control kiya ja sakta hain. Fiber ki matra bahut jyada LDL cholesterol ko kam karti hain. Aur body ke liye achchi aur jaroori HDL Cholesterol level ko badha kar usay chust-durust rakhti hain.
10. Immunity system sahi rakhta hain.
Vitamin C ki bharpoor matra body ki immunity ko itna strong bana deti hain, Jisse sharir kisi bhi prakar ke infection, rogo se ladkar usay tamam tarah ki bimariyo se koso door rakhta hain.
11. Tanav kam kare
Sunkar Hairaani hogi, Lekin yeh sach hain. Kaam ke kaaran hone wale tension, Chinta aadi se mukti paane mein Aaloo Bukhara bahut hi achuk upay hain. Iska fresh aur Juicy taste sabhi prakar ke tension ko khatm karta hain. To jab bhi aisi problem ho to Dawaaiyo ki bajaye Aaloo Bukhara khaye.
12. Nervous system ko behtar banata hain.
Aaloo Bukhare mein Vitamin B6 ki mauzoodagi nervous system ke liye bahut hi jaroori hain. Dimaag ko kaam karne ke liye bahut saari energy ki jaroorat hoti hain aur Aaloo Bukhara kha kar ise pura kiya ja sakta hain. Yeh Hormone level ko bhi control karne ka kaam karta hain. Neen na aane ki samsya, Mood badalna aadi ke liye jimmevar Fluid ko maintain karta hain.
In prakar ki samsyaon se nipatne ke liye Aaloo Bukhare ka sewan bahut hi jaroori hota hain, aur yeh garmiyo mein asaani se market mein available hota hain.
Post a Comment