Header Ads

Ganne ka ras peene ke fayde (Benefits of SugarCane Juice)

Ganne ka ras (Sugarcane JuiceGarmiyo mein log ganne ka juice bahut jyada peete hain. Iski wajah Bharat mein bahut jyada Ganne ki paidawaar hain. Swaad ke saath-saath Ganne ke ras mein sehat se jude bahut sare faydemand tatv shamil
hain. Ismein Calcium, Chromium, Cobalt, Copper, Magnesium, Meganize, Phosphorus, Potassium aur Zinc shamil hain. Iske alawa ismein Vitamin A, B1, B2, B3, B5, B6 aur C ke saath Anti-Oxidants, Proteins aur bhojan ko asaani se pachaane wale fibers bhi mauzood hain. 


Aayiye jante hain Ganne ke ras se hone wale fayde ke baare mein (Benefits of Sugarcane Juice)

Energy Deta hain. 

Garmiyon mein Ganne ka juice isliye bhi pasand kiya jata hain, Kyonki ise turant peene ke baad energy milti hain. Ganne ka juice Glucose ka bahut achcha source hota hain, Jisse yeh body ko carbohydrate rakhne ke saath energy booster ka kaam bhi karta hain. To kisi bhi packaged Juice ko peene se behtar hain rojana ek glass ganne ka ras peena.

Diabetes se rakhe door 

Ganne ke juice mein pahle se hi Chini (sugar) ki bahut jyada matra hoti hain. Lekin phir bhi yeh Diabetes ke rogiyo ke liye bahut hi faydemand hota hain, Kyonki iski meethas ka karan natural sugar hain jo Glycemic Index ke saath hi blood mein glucose ki matra ko bhi control karta hain. Type-2 Diabetes ke mareezo ko ganne ke ras ka sewan jaroor karna chahiye.

Cancer se bachaye

Ganne ke juice mein mauzood calcium, magnesium, potassium, iron aur meganize body mein alkaline ke roop mein kaam karta hain. Jisse cancer hone ki sambhavna kafi had tak kam ho jati hain. Ek research mein bhi yeh mana gya hain ki Ganne ka juice peene se Cancer ka virus hone ka khatra kafi kam ho jata hain. aur Mahilaon mein sabse jyada hone wale breast aur prostate ka cancer hone ki sambhavna kafi hud tak kam ho jati hain.



Kidney Surkashit rakhta hain. 

Ganne ke juice body mein maujoo protein level ko control karta hain. Jo kidney ki sehat ke liye bahut jaroori hain. Garmiyo ke mausam mein mahilaon ko hone wale Urinary Tract  Infection , STD bimari aur jalan jaise samsyaon ko Ganne ka ras peekar door kiya ja sakta hain. Aur to aur kharaab khane-peene ka sabse jyada asar Kidney par padta hain, Jisse kai prakar ki bimariya gher leti hain. In sabse chhutkara pane ke liye ganne ka ras bahut hi labhdayak hota hain.


Anti-Oxidants 

Ganne ka juice Anti-oxidants se bharpoor hota hain , jo kai prakar ki bimariyo se ladkar body ke immunity system ko sahi rakhta hain. Liver ke infection se bachaane ke saath hi bilirubin level ko control karta hain. Piliya rog ke mareez ko doctor ganne ka ras peene ki salah dete hain.




Pachan sahi rakhta hain. 

Ganne ke juice mein potassium ki matra pachan shakti ko sahi rakhne mein madad karti hain. Pet ke kai prakar ke infection se bachaane ke saath usay cancer , Gas, Apach, Pet ki jalan, Marod aadi se bhi door  rakhta hain.


Daanto ki samsya se door rakhe 

Saanso ki badboo ki samsya ho ya masoodo mein dard , Yaha tak ki daanto se sambandhit kisi bhi tarah ki bimari ko door karne mein ganne ka juice bahut hi kargar hota hain. Daanto ki sehat ke saath uski chamak barkarar rakhne ke liye iska juice peena bahut hi faydemand sabit ho sakta hain.

Daag-dhabbo se chhutkara 

Healthy skin ke liye Alpha Hydroxy acid bahut hi faydemand hota hain. Yeh Keel-muhanso ko door karne ke saath hi skin ko hydrate rakhne ka kaam karta hain. Isse asamay dikhne wale budhape ko door kiya ja sakta hain. Iske juice ko chehre par lagane se Skin se related kai prakar ki problems door hoti hain. Ise mask aur scrub ke taur par bhi istemal kiya ja sakta hain.

Naakhuno ko majboot banata hain. 

Calcium ki kami se Sirf haddiya hi nahi kamjor hoti hain, Balki haath-pair ke naakhun bhi bahut jaldi toot jate hain. Isse pairo ki khubsoorati kharaab hone lagti hain. To agar Nakhoono ke beech safed daag-dhabbe pad rahe ho ya unki safedi gayab ho rahi ho, To ganne ka juice peekar isse nijat paya ja sakta hain.