Header Ads

Janiye World ki top 10 Countries Internet ke speed ke maamle.

InternetHamare desh mein Internet ki speed ko lekar hamesha preshani ka samna karna padta hain. Khas kar ke downloading mein kafi time kharch hota hain. Lekin dusri or duniya mein kuch aise desh bhi hain, Jo internet ke mamle mein kafi aage hain. Yaha na sirf Internet connection ki speed bahut acchi hain, Balki downloading bhi tezi ke saath hoti hain. Aise mein yeh desh Internet connectivity ke mamle mein dusre desho ko kafi peeche chhod dete hain. To janiye world ke top 10 Fastest Internet speed wali countries ke baare mein :- 



Is list mein pahli position south Korea ki hain. Yaha par average 22.2 Mega Bits per Seconds (MBPS) internet speed hain. Pichle saal yaha par Internet speed 1.6% increase huyi hain. Dusre number par Hong-Kong hain. Yaha par average MBPS 16.8 hain. Last year se is saal yaha par 37% Internet speed increase huyi hain. Is list mein teesra number Japan ka hain. Yaha bhi internet ki speed kafi achchi hain. Average MBPS 15.6 hain, Vahi speed increase hone ka percentage 16 hain. 


Internet ki speed ke mamle mein Sweden aur Switzerland bhi kafi aage hain. Chauthe number par Sweden hain , Jaha Average MBPS 14.6 hain, Yaha par 34% Internet speed Increase ho rahi hain. Isi tarah se Switzerland mein Average MBPS 14.5 hain. Yaha speed increase hone ki dar 21% hain. Chhathe number par Netherlands , Saatve par Latvia , Aathwe par Ireland, Nave par Czech Republic aur Daswe par Finland hain. In desho mein Internet Speed ka average 14.2 se 12.1 tak hain. Saath hi pichle saal ke mukable Internet Speed increase level 33% tak hain.   


Internet Speed ke mamle mein Bade desh kafi piche hain. Yadi UK ki baat ki jaye , to yeh 17th number par hain. Dusri or America, Australia,France aur China jaise desh bhi internet Speed ke top countries mein jagah nahi bana paye hain.