Parwal khane ke fayde (Benefits of Pointed Gourd).
Parwal Bharat ke har state mein sabzi ke taur par khaya jata hain. Dikhne mein yeh Kundroo ki tarah hain, Lekin Aakar mein kuch bada hota hain. Sabzi bazaar mein parval lag-bhag har mausam mein bikte huye dekhe ja sakte hain. Sabzi ke taur par istemal kiya jane wala Parwal Aadiwasiyo ke liye kisi chamatkarik aushidhi se kam nahi hain. Shahri log shayad iske aushidhi guno se parichit nahi hain. Chaliye dekhte hain ki kis tarah se hindustani aadiwasi Parval ko apne swasth ki behatari ke liye upyog mein late hain. Parwal ka vanispatik naam Trichosanthes dioica hain aur ise English mein Pointed Gourd kaha jata hain. Aksar kai phalo aur sabziyo ko alag-alag mausam mein upyog karna varjit mana jata hain, Lekin sehat ke liye uttam guno se bharpoor hone ki wajah se aadiwasi Parwal ko saal bhar sewan karne ke liye uttam mante hain.
1. Pet ki sujan Door kare
Parval ki sabzi khane se Pet ki sujan door ho jati hain, Jin logo ko aksar pet mein paani bhar jane ki shikayat hoti hain, Unkhe liye Parwal vardaan hain. Aadiwasi herbal experts ke anusar aksar parval ki sabzi khate rahne se pet se judi anek problems mein rahat milta hain.
2. Motapa door karne ke liye
Aadiwasi mante hain ki Parwal ke phalo ka juice taiyaar kar liya jaye aur usme thodi matra mein saunf aur heeng ka churan mila liya jaye aur sewan kiya jaye to motapa door hone lagta hain. Parval ka taza juice takat aur energy deta hain.
3. Pet ke keedo ke liye
Parval aur Hare dhaniye ki pattiyo ko barabar matra (20Gram) lekar kuchal liya jaye. Aur 250 ml paani mein raat bhar bhigo kar rakh diya jaye. Subah ise chhan kar Teen hisse kar har hisse mein thoda sa sahad dalkar din mein 3 baar rogi ko dene se pet ke keede mar jate hain.
4. Faude- Funsiyo ko khatm karne ke liye
Parval mein khoon saaf karne ka ek aham gun paya jata hain. Agar sharir mein Faude-phunsiyo ki jyada matra nikal rahi hain to Bas Parwal ki kam masaledaar sabzi ko khana shuru kar de. 21 Dino mein hi Khoon ki saari ashudhhiya khatm ho jayegi aur Faude-phunsiya nikalni band ho jayengi.
5. Seer Dard hone par (Headache hone par )
Seer Dard (Headache) hone par parwal ke ras ka lep karne se seer ka dard door ho jata hain. Parwal ke phalo ko kuchalkar ras nikala jaye aur usay maathe par lepit kiya jaye. Jyada Seer dard hone par Parwal ki pattiyo ka ras bhi nikal kar uska upyog kiya ja sakta hain. Iske jado ka ras bhi sar dard mein rahat ke liye asardar mana jata hain.
6. Mavad padne par use kare
Parval ke patto ko peeskar mavaad yukt fode-funsiyo par aur jakham par lep karne se yeh bahut hi jaldi sookh jate hain. Agar sharir mein jyada faude-funsi ho gye hain to kam masale wali parval ki sabzi ko 21 din tak khaye. Aadiwasiyo ke anusaar Parwal Blood purifier ka bhi kaam karta hain.
7. Parval ka achaar hain faydemand
Aadiwasi mante hain ki parwal ke pakke phal ko khane se tavcha ke sabhi rog khatm ho jate hain. Central India mein Aadiwasi Parval ka achaar taiyaar karte hain. Mana jata hain ki parwal ka achaar swadisht hone ke saath sehat ke liye gazab ka faydemand hota hain.
Post a Comment