Header Ads

Pudina ke fayde (benefits of Mint)

PUdinaPudina ek chhota sa paudha hota hain. Jo akasar nami wali jagah par ugta hain. Ismein udansheel tel paya jata hain, jo peppermint jaisi sugandh deta hain. Iska vanaspatik naam Mentha hain. Aadiwasi iska istemal kai tarah ki problems ke chhutkare ke liye karte hain. Chaliye jante hain pudine ke desi nuskhe ke baare mein 


1. Keel-muhanso mein aaraam 


Pudine ki kuch pattiyo ko kuchalkar ismein 3 boond Nimbu ka ras dala jaye aur is mishran ko chehre ke keel-muhanso par laga diya jaye. Phir 5 Minutes baad chehra dho liya jaye. To ek hafte ke ander Keel-muhanse khatm ho jayenge aur chehra damak jayega.




2. Sardi- Khansi mein aaraam 

Thand mein bukhaar aane par pudine ki pattiyo ka ras aur Adrak ka ras saman matra mein milakar rogi ko dene se aaram milta hain. Aadiwasiyo ke anusaar Kareeb 1 glass paani mein 10 pudine ki pattiya, Thodi si kali-Mirch aur thoda sa kala namak daal kar ubaale. 5 Minutes baad is paani ko chhankar Peene se Sardi-Khansi, Jukam aur bukhaar se aaraam milta hain.


3. Moonh ki badboo door kare 

Jinhe moonh se badboo aane ki shikayat ho , Unhe durgandh door karne ke liye Pudine ki sukhi pattiyo ko peeskar uska churan bana kar daanto par manjan ki tarah lagana chahiye. Aise karne se moonh ki badboo aani band ho jati hain aur masoode bhi majboot ho jate hain.



4. Sardi-Jukam mein rahat

Sardi Jukam hone par Pudine ki pattiyo ka ras ki ek-ek boond naak mein dalne se aaram milta hain. Kali Mirch, Pudina aur Namak ka mishran ek saath  chabane se  bhi sardi jukam mein tezi se fayda hota hain.

5. Pet dard mein aaraam 

Aadiwasiyo ke anusaar Pet dard aur atisaar mein iske patto ko anar daano ke saath pees kar Adrak ke ras ke saath mila kar sewan karne se labh hota hain.

 
6. Daad se chhutkara

Daad ya skin ke infection hone par Pudine ke patto ka ras din mein  3-4 baar infection wali jagah par  lagaane se aaram milta hain.  Pudine ko kuchalkar sidha skin par ragda jaye to bhi fayda milta hain.


7. Cholera ka ilaaj

Cholera hone par 6 gram  Pudine ki pattiyon aur Elaichi (3Gram) lekar aadhaa Liter paani mein ubaala jata hain. aur 1-1 ghante ke baad rogi ko diya jata hain. Jisse jee machlana aur Ulti band ho jati hain. Iske saath hi pet dard mein aaraam milta hain. 


8. Zehar utarata hain.

Aadiwasiyo ke anusaar Bichchhoo ke kaate jane par pudine ki pattiyo ka ras lagane se labh hota hain aur dheere-dheere zehar utar jata hain.