Header Ads

Ubali huyi sabziya khane ke fayde (Benefits of Boil Vegetables)

Boil VegetablesUbali sabziya khane ke kai fayde hote hain, Inka swaad jaroor aapko bekar lag sakta hain, Lekin agar aapko inki paushtikta ke baare mein pata chal jaye to aapko accha lagega ki aap apne sharir aur health ka kitna khyaal rakhte hain. Jyada tala-bhuna khana swasthvardhak nahi hota hain. Aise mein aapko Ubla ya halka paka bhojan jyada labh pahuchayega. 



Sharir ki immunity power badhane ke liye bas paani ubaal kar usme hari sabziya aur zara sa namak mix kar dena hoga. Yeh kafi tasty lagta hain. Aaiye jante hain Ubali huyi sabziya khane se kya-kya labh milte hain. 


1. Khane mein safe :- Ubla bhojan, khane mein bilkul safe hota hain. Isme kisi tarah ki koi bacteria aur gandagi nahi rah jati hain Jisse sharir ko nuksaan pahuche. 

2. Poshak tatv bane rahte hain :- Ubale bhojan mein poshak tatv nasht nahi hote hain aur khane par sharir ko bharpoor fayda dete hain. 


3. Bimariyo ke khate ko kam karna :- Ubali sabziyo ke sewan karne se bimari ka khatra kam ho jata hain aur heart attack, cancer aadi jaise janlewa bimariya hone ka khatra bahut kam ho jata hain. 


4. Anti-Oxidants badhaana :- Sharir mein Anti-oxidants ki matra badhane ke liye ubli sabziyo ka sewan faydemand hota hain. 

5. Jyada faydemand :- Agar aap hari sabzi ko bhunkar banaye to vah utni fayda nahi karti hain jitna fayda ubaal kar khane se hota hain. 

6. Wajan kam karna :- Ubali sabzi khane se fat nahi badhta hain aur wajan accha aur balance bana rahta hain. 


7. Asaani se kha sakte hain :- Ubali sabziyo ka sewan bahut asaani se kiya ja sakta hain. Agar daanto ya mooh mein samsya ho to yeh fayda karti hain. 


8. Alag Swaad :- Kya aapko pata hain ki tamatar ko ubaal kar khane se alag swaad aata hain, Shayad nahi. Aisa hota hain. Har sabzi ko ubaal kar khane se naya taste aata ho. 


9. Samay ki bachat :- Ubla khana banaane mein jyada samay nahi lagta hain aur aapke samay ki bachat ho jati hain. 


10. Swasthwardhak tarika :- Ubla bhojan ek swasthvardhak tarika hota hain jo poshak tatvo ko sharir mein pahuchaata hain.