Header Ads

Aise khole bacchon ke naam PPF Account aur bachaye Tax bhi.

PPFLong term savings aur tax ki dendari ghatane ki liye bacche ke naam par PPF khata khola ja sakta hain. Lekin bacche ke naam mata ya pita sirf ek hi khata khol sakte hain. Nabalik ke naam khola gya PPF khata parents ki guardianship mein operate hota hain.



Jaroori Documents 

Bacche ke naam account kholne ke liye Passport Size photo ke saath uski age ke proof ke taur par form ke saath uska birth certificate/ School certificate jama karna hota hain.

Investment Limit

Kisi person ke apne aur uski guardianship mein khole gye PPF account mein har saal 1.5 lakh rupaye tak nivesh kiya ja sakta hain. Niyam ke mutabik 1.5 Lakh ki rupaye ki limit Account ke hisaab se nahi balki Individual ke hisaab se lagoo hoti hain. Agar kisi saal mein 1.5 Lac se upar nivesh chala jata hain, to Additional Fund par Byaaz nahi milega. 

Tax Chhoot

Income Tax Act 80 C ke tahat Guardian Maximum 1.5 Lakh rupaye ke nivesh par chhoot claim kar sakta hain. Yeh limit dono PPF Account ke balance par lagoo hogi.