Header Ads

Ananas khane ke nuksan (Side Effects of Pineaaple)

PineappleAnanas ek aisa phal hain jo protein, phosphorus, Calcium se bharpoor hain aur usme vitamin A aur C paya jata hain. Isko Juice aur salad ke roop mein khaya ja sakta hain. Iska swaad khatta-meetha hota hain. 



Isme fiber ki kafi matra mein paya jata hain. Lekin agar is phal mein kuch acchaai hain to kuch buraai bhi hain. Kuch mamlo mein ise galat tarike se khane se bahut gambhir rog bhi ho sakte hain. To aayiye jante hain Ananas khane ke kuch nusksaan :- 


1. Allergy :- Ananas khane se kuch mahilaon aur purusho mein allergy dekhi gyi hain, Jaise hontho mein sujan aur gale mein kharas ya jhunjhuni hona. Isse bachne ke liye Ananas ke slice kaat kar Namak ke paani mein daal de. Isse gale mein kharash karne wale enzyme khatm ho jayenge. 


2. Garbhpaat :- Pregnant women ko suruvati dino mein Ananas nahi khana chahiye kyonki isse  garbhpaat (Miscarriage) ka khatra badh sakta hain. Lekin aakhiri ke kuch mahino mein ve Ananas kha sakti hain. 


3. Gathiya ka jokhim :- Jab aap Ananas khate hain to vah sharab mein badal kar jathraantr mein pahuchta hain, Yahi aage chalkar Gathiya ki shuruvat karta hain. Isliye jinhe gathiya ya jodo ka dard rahta hain, Unhe jyada Ananas nahi khana chahiye. 


4. Blood sugar level ko badhata hain ;- Ananas mein Sugar kafi matra mein paya jata hain, Isliye jin logo ko madhumeh hain unhe ise khane se bachna chahiye. Kyonki ek dum se unka blood sugar level badha kar unki jaan khatre mein daal sakta hain. 

5. Dawaao ke saath interaction :- Ananas mein Bromelain ke tatv paye jate hain, Jo kuch dawaao ke saath react karke oos vyakti ko nuksan pahucha sakta hain. Isliye agar aap koi Anti-Biotic le rahe hain to Ananas khane se bache. 


6. Kachche Ananas ke side effects ;- Kachcha Ananas khane ya uska juice peene se aapko ultiya ho sakti hain, Kyonki kachche ananas mein kuch zehareele tatv paye jate hain. 


7. Mooh mein balgam banata hain :- Ananas mein Acidity banane wale tatv paye jate hain, Jisse mooh mein balgam aur gale mein kharash hoti hain. Aur kai baar ise khane se pet mein dard bhi hota hain. 


8. Khoon ko patla karne wali dawaai se react karta hain :- Jo log khoon ko patla karne wali dawaai khate hain, Unhe Ananas nuksaan pahucha sakta hain. 


9. Allergy Paida karta hain :- Bromelain Ananas mein paye jane wala ek khas tatv hain, Jo ki protein mein badal jata hain. Yeh tavcha mein khujali paida karta hain, aur kai saari purani allergy ko vapis le aata hain. 


10. Dental Hygiene :- Jin logo ke daanto mein Cavities ya masoodho mein sujan rahti hain unhe Ananas khane se bachan chahiye. Yeh daanto par safed parat chadha ke mooh mein durgandh paida karta hain.

Aaiye Ananas khane ke side effects ka video dekhte hain :-