Header Ads

Babool ke Fayde (Benefits ko Vachellia nilotica )

Babool TreeBabool ko English mein Vachellia nilotica kahte hain, Ise aam bolchal mein Babool, Babul , Kikar aadi namo se bhi jana jata hain. Iska ped kaanto se bhara hota hain. Lekin iske bawjood yeh guno ki khan hain. Is ped ki mulayam tahniyo ko gharo mein daatun bana kar prayog kiya jata hain. Babool se na kewal daant saaf rahte hain balki anek prakar ki bimariya bhi door hoti hain. Babool cough aur pitt nash karne wala hota hain. 



Iska gond Pitt aur Vaat ka naash karne wala hota hain, Yeh Jalan ko door karne wala, Ghaav ko bharne wala, Blood purifier ka kaam karne wala hain. Babool ki pattiya, Gond aur Chhal sabhi cheeze badi hi kaam ki hain. 

Aaiye jante hain Babool, Babul ya Kikar ke fayde :- 


1. Diarrhea :- Babool ke alag-alag bhaag diarrhea ko door karne mein madad karte hain. Babool ki tazi pattiyo ko safed aur kale jeere ke saath pees kar 12 gram din mein teen baar khane se diarrhea theek ho jata hain. Isi tarah iski chhal se bane kadhe ko din mein 3 baar peene se bhi fayda hota hain. 


2. Daanto ki preshani :- Rojana babool ki chhal ko daatun bana kar chabane se labh milta hain. Isse masoodo ki sadan aur daanto se khoon aana door hota hain. Isse gande daanto ko bhi saaf kiya ja sakta hain. Aap daanto ko saaf karne ke liye 60 Gram Babool ka koyala, 24 Gram roast ki huyi Fitkari aur 12 Gram kala namak mix karke manjan kare. 


3. Eczema :- 25  Gram babool ki chhal aur Aam ki chhal ko 1 Ltr. Paani mein ubaal kar Eczema wale jagah ki bhaap se sekaai kare. Sekaai ke baad oos bhaag par baad mein Ghee laga de. Iske alawa Babool ke patto ko pees kar eczema wali skin par lagane se bimari mein labh milta hain. 


4. Tonsils :- Babool ki chhal ka garam kadha banayiye aur usme kala namak mila kar garara kijiye. Isse Tonsils turant theek ho jata hain. 


5. Conjunctivitis :- Raat ko sone se pahle Conjunctivitis wali aankhon par Babool ke taze patte pees kar lagaye aur ise kisi saaf kapde se baandh de. Doosri subah aankhon se lalima aur dard khatm ho jayega. 


6. Aankhon se paani aana:- 250 Gram babool ki pattiyo ko paani mein tab tak ubaale jab tak paani ek chauthaai nahi rah jata hain. Phir is paani ko ek saaf paani ke saath kisi bartan mein bhar le. Iske baad aap subah-shaam apni aankhon ki palke ko isse dhoye.


7. Likoria :- Is rog ko theek karne ke liye babool ki chhal ka pryog kiya jata hain. Babool ki chhal ka kadha bana kar prayog kare.


8. Khansi mein labhdayak :- Babool ki mulayam Pattiyo ko paani mein ubaal kar din mein 3 baar peene se khansi aur seene ka dard theek ho jata hain. Aap chahe to Babool ki gond ko mooh mein rakhkar choos sakte hain.


9. Chot lagne ya jalne par :- Babool ki pattiyo ko ghaav lagne, jalne ya chot lagne par istemal kiya jata hain. Yeh Daag lagne se rokta hain. Babool ki pattiyo ko pees kar lagaye.