Bhringraj ke desi nuskhe (Benefits of Bhringraj)
Nadi, Naalo , maidani ilako, Khet aur bagaano mein aksar dekha jane wala Bhringraj Ayurveda ke anusar bada hi mahatvpurn aushdhiy paudha hain. Gaaon mein Black board ko kala karne ke liye jis paudhe ko gheesa jata hain, wah bhringraj hi hain. Iska Vanaspatik naam Eclipta prostrata hain. Aadiwasi Bhringraj ko anek herbal nuskhe mein dawa ke taur par upyog karte hain. Aaiye jante hain Bhringraj ke Fayde aur Nuskhe...
Baal girne ki samsya se mukti
Bhringraj ki taza pattiyo ko kuchalkar iska paste taiyaar kare, Phir isme thodi Dahi ki matra mila kar seer par 15 minutes tak laga kar rakhne se baal jhadne ki samsya se chhutkara milta hain. Taza pattiya uplabadh na ho, to pattiyo se bane powder ka bhi istemal kiya ja sakta hain. Healthy baalo ke liye yeh nuskha behad kargar hota hain.
Baalo ko safed hone se bachaye
Herbal jankar Triphala, Neel aur Bhringraj teeno ko ek-ek chammach matra mein lekar 50ml paani mein milakar raat bhar lohe ki kadhai mein rakh dete hain. Subah ise baalo mein lagakar, kuch der sukhne ke liye chhod diya jata hain. 15-20 Minutes baad saaf paani se baalo ko dho lete hain. Aisa karne se baalo ko asamay pakne se bachaya ja sakta hain.
Piliya rog mein labhdayak
Bhringraj ke paudhe ka ras Piliya rog mein bahut hi asardar hota hain. Herbal experts ke anusaar rojana aadha cup iska ras peene se ek hafte ke ander hi piliya rog khatm hone lagta hain. Iske liye Bhringraj ke paudhe (Kareeb 50 gram) ko lagbhag 100ml paani mein kuchlakar phir chhan kar peena chahiye.
Khansi mein araam
Bhringraj ki pattiyo ka ras Shahad ke saath mila kar dene se bachchon ko khansi mein kafi araam milta hain. Din mein kam se kam 3 baar takreeban 10 gram pattiyo ko kuchalkar iska ras taiyaar karke peena chahiye.
Elephantiasis mein asardaar
Haathi paanv ya Elephantiasis hone par Til ke tel ke saath Bhringraj ki pattiyo ka ras ko mila kar paanv par lagane se rahat milti hain.
Acidity door karta hain.
Acidity hone par Bhringraj ke paudhe ko sukhakar iska powder bana lete hain aur Harra ke phalo ke powder ke saath Saman matra mein mila kar, Gud ke saath khane se acidity ki samsya se chhutkara milta hain.
Sirdard mein rahat
Agar iski pattiyo ke ras ko masoodo par lagaya jaye aur iski kuch matra maathe par lagayi jaye to sirdard mein aaraam milta hain.
Tavcha ke rogo se nijat
Bhringraj ka ras tavcha ke rogo , fati ediyan aur kai prakar ke infection ko rokne mein kargar hota hain. Iski pattiyo ko kuchal kar tavcha ke prabhavit hisso par lagane se aaraam milta hain.
Migraine mein behtar result
Migraine hone par Bhringraj ki pattiyo ko doodh mein ubaala jaye aur is doodh ki kuch boonde naak mein daali jaye, to aaraam milta hain. Agar Bakri ka doodh ho to aur jald results dekhne ko milte hain.
Post a Comment