Header Ads

Gungune Paani mein thoda Shahad aur Nimbu mila kar peene se hote hain yeh fayde (benefits of Lemonade)

LemonadeYeh to hum sabhi ne kabhi na kabhi suna hain ki ek glass garam paani mein Nimbu aur Shahad mila kar subah khali pet peene se anek fayde hote hain. Kuch yeh bhi yakin karte hain ki yeh wajan kam karne mein madadgar hota hain. Yahi aap bhi un logo mein se ek hain, jo aksar aisi baaton ko lekar uljhan mein rahte hain ki yeh sadharan cheeze swasth par asar karegi ya nahi. Kya swasth par iska koi vakai prabhav padta hain. Yadi haa to hum aapko batate hain ki roj subah Garm paani mein thoda sa Nimbu aur Shahad mila kar peene se hone wale fayde ke baare mein :-




1. Pachan theek rakhta hain 

Digestive problems se yadi aap aksar preshan rahte hain to roj subah garam paani mein nimbu aur shahad mila kar pijiye. Iske sewan se pet saaf rahta hain. Yeh liver ko adhik bile juice banane mein madad karta hain, Jisse bhojan ka pachan asaani se hota hain. Shahad pet mein hone wale kisi bhi tarah ke infection se mukti dilata hain.



2. Wajan ghatane mein madadgar 

Shahad, Nimbu aur Garm paani ka roj subah sewan karne se sharir ka Metabolism theek rahta hain. Isse sharir ka sugar level normal bana rahta hain. Jisse din bhar meetha khane ki ichchha kam hoti hain. Dieting ko prabhaavi banane ke liye iska sewan kafi faydemand hain. Iske niyamit sewan aur workout se bahut jaldi wajan kam kiya ja sakta hain.


3. Zehareele tatvo ko bahar kar deta hain 

Shahad aur Nimbu Paani ko Garam paani mein mila kar peene se sharir se zehareele tatv bahar ho jate hain. Ayurveda mein mana gya hain ki bhojan ke theek se na pachne par pet mein dead bacteria ikkatha ho jate hain, Nimbu paani ka sewan karne par ve bahar ho jate hain. Colon ko uttejit kar uski safaai kar deta hain. Hamari body colon ki safaai hone par jyada behtar tarike se poshak tatvo ko grahan karke unka upyog karti hain.



4. Swasth tavcha ke liye 

Shahad aur Nimbu ke garam paani ke saath sewan se sharir ke toxins door hote hain. Yeh skin ke liye natural Bleech ka kaam karte hain. Iske alawa yeh blood ko purify karta hain. Shahad mein Anti-Bacterial properties hoti hain. Isliye iske niyamit sewan se chehre par moohanse aur daag-dhabbe nahi hote hain aur skin par natural glow bana rahta hain.


5. Pratirodhi shamta badhata hain 

Iska niyamit sewan sharir ki immunity ko badhata hain. Shahad aur Nimbu mein mauzood anti-oxidants aur kai poshak tatv sharir ko mausam  badalne ke saath hone wale infections se door rakhta hain. Aise kai researches hain Jinme Garam paani mein shahad ke sewan se anek faydo ka daawaa kiya gya hain.


6. Instant Energy 

Subah ke samay garam paani mein shahad aur nimbu ka sewan din bhar aapko taro-taza rakhta hain. Yeh metabolism sahi karta hain, Jisse thakaan jaldi nahi hoti aur aap din bhar energetic mahsoos karte hain. Yeh ek behtrin diuretic  bhi hain , isliye yeh urinary system  ki safaai kar usay durust rakhta hain. 


Aapne abhi  jana ki garam paani , Shahad aur Nimbu ko mila kar peene se kya fayde hote hain. Lekin ab aap janenge ki Sirf Garm (Garam) Paani peene se kya labh hote hain.


Garm Paani peene ke labh :- 


1. Dama, Hichaki, Kharash aadi rogo mein aur tale-bhune cheezo ke sewan ke baad Garm paani peena bahut hi labhdayak hota hain. 

2. Rojana ek glass garam paani Seer ke cells ke liye gazab ke tonic ka kaam karta hain. Yeh seer ki tavcha ko hydrate karta hain, Jisse skin ke dry hone ki problem khatm ho jati hain. 

3. Hamesha jawan dikhte rahne ki chahat rakhne wale logo ke liye garam paani ek behtarin aushadhi hain. 

4. Yadi aap skin problems se preshan hain ya glowing skin ke liye tarah-tarah ke cosmetic use karke thak gye hain, to rojana sirf ek glass garm paani peena shuru kar dijiye. Aapki skin problem free ho jayegi aur chamakne lagegi. 

5. Ladkiyo ko periods ke dauran yadi pet dard ho to aise mein ek glass gunguna paani peene se rahat milti hain. Darasal is dauran hone wale pain mein muscles mein jo khichaav hota hain, Usay garam paani relax kar deta hain. 

6. Charak sanhita ke anusar Bukhaar mein pyaas lagne par mareez ko thanda paani nahi dena chahiye. Garam paani hi peena chahiye. Isse bukhaar mein rahat milti hain. 


7. Yadi sharir ke kisi hisse mein gas ke karan dard ho raha ho to ek glass garam paani peene se gas bahar ho jati hain. 

8. Adhikansh pet ki bimari dooshit paani peene se hoti hain yadi paani ko garam karke phir thanda karke piye to jyadatar bimariya paida hi nahi ho payengi.

9. Bhookh badhane mein bhi ek glass garam paani bahut upyogi hain. Ek glass garam paani mein ek nimbu ka ras aur kali mirch aur namak dalkar piye. Isse pet ka bharipan kuch hi samay mein door ho jayega. 

10. Garm paani ke niyamit sewan se blood circulation tez ho jata hain. Darasal garam paani peene se sharir ka temperature badh jata hain. Paseene ke madhyam se sharir ke saare zehareele tatv bahar ho jate hain.