Header Ads

Badi Elaichi khane ke fayde (Benefits of Black Cardamom)

Black Cardamom photoBadi ya Kali Elaichi khane ke bade hi fayde hain. Bharat mein hazaro saalo se Elaichi ka upyog masalo ke roop mein kiya ja raha hain. Elaichi 2 tarah ki hoti hain Badi aur Chhoti. Chhoti Elaichi meethe pakvaano ka swaad badhane ka kaam karti hain. Vahi badi elaichi namkeen pakvaano ke swaad ko duguna karti hain.

Badi Elaichi ko Kali Elaichi, Bhoori Elaichi, Lal Elaichi , Black Cardamom, Lal Elaichi, Nepail Elaichi ya Bengali Elaichi bhi kahte hain, is ke bahut hi jyada fayde hain. Iske beejo se kapoor jaisi sugandh aati hain. 

Badi Elaichi ki khas baatein 

Badi Elaichi ka vanaspatik naam “Amomum subulatum” aur “Amomum costatum” hain. Ayurveda aur Yunani upchar mein iske beejo ke lagbhag ve hi gun bataye gye hain, Jo chhoti Elaichi mein hote hain. Badi Elaichi Chhoti Elaichi se thodi kam swadisht hoti hain. Yeh aam-taur par namkeeni pakwaano mein upyog ki jati hain. Bharat mein yeh sabse jyada paida hoti hain. Badi Elaichi khas karke ke south India mein Kerala, Karnataka aur Tamilnadu mein jyada ugaai jati hain. Bharat mein paida ki jane wali yeh badi Elaichi sirf ek masala bhar nahi hain , balki yeh ek badhiya aushadhi bhi hain. Iske inhi guno ke karan ise masalo ki raani bhi kaha jata hain. 


Badi Elaichi ke labh (Benefits of Black Cardamom) :- 

1. Pachan durust karti hain :- Badi Elaichi ka sewan  Gastrointestinal system ke liye khas kar ke faydemand hota hain. Iska sharir ke hajme par bahut hi accha asar hota hain. Iske sewan se Acidity ki samsya se chhutkara milta hain. Iske niyamit sewan se Gastric Ulcer aur dusri pachan sambandhi bimariyo ka khatra kafi kam ho jata hain.

2. Fefde se related bimariyo mein labhdayak :- Badi Elaichi Dama ke rogiyo aur saans sambandhit bimariyo se joojh rahe logo ke liye khas karke ke faydemand hain. Iske niyamit sewan se Asthma, Kukur Khansi, Fefde ka sikoodna, Fefde ki sujan aur Tapedik (T.B) aadi rogo se chhutkara paya ja sakta hain.

3. Gurde ki bimari door karta hain :- Badi Elaichi ko Urinary Health ke liye accha mana jata hain. Yeh ek behatrin Diuretic bhi hain. Iske sewan se na sirf Urination sahi rahta hain, balki Kidney se related bimariya bhi door rahti hain.

4. Anti-Oxidants se bharpoor :- Badi Elaich Anti-Oxidants se bharpoor hota hain. Isme do tarah ke Anti-Oxidants hote hain, Lekin khas tuar par Anti-Cancer Anti-oxidants paye jate hain. Yeh Breast, colon aur Ovarian Cancer ko rokta hain. Isse Cancer cell ka nirman aur vikas rook jata hain.


5. Baalon ko majboot banata hain :- Badi Elaichi ke sewan se baal Kale, ghane aur majboot ban jate hain. Isme mauzood tatvo ke karan baalo ko poshan milta hain. Badi Elaichi Baalo ko majboot banati hain.


6. Zehareele tatvo ko bahar nikalta hain :- Badi Elaichi ek behtarin Detoxifiere ka bhi kaam karti hain. Yeh sharir se vishaile (Zehareele) tatvo ko bahar nikaal kar sharir ko sehatmand banati hain.

7. Skin ko Glowing banata hain :- Badi Elaichi ke niyamit sewan se Skin Chamakne lagti hain. Skin Allergy ki samsya mein Badi Elaichi apne anti-bacterial guno ke karan natural remedy ki tarah kaam karti hain.  

8. Dard mein RamBan :- Badi Elaichi mein dard ko door karne ki anokhi shamta payi jati hain. Visheshkar, Sirdard mein to yeh Ramban ki tarah kaam karti hain. Isse taiyaar kiye jane wale khusboodar Tel ka istemal karne se Sirdard, Tension aur thakaan jaisi samsyaen door ho jati hain.

9. Rog-Pratirodhak shamta ko badhati hain :- Badi Elaichi mein Anti-Septic aur Anti-Bacterial gun paye jate hain. Isme 14 tarah ke bacteria ko khatm karne ki power hoti hain. Ise khane se bacterial aur Viral Infection se bachaav hota hain.

10. Blood pressure ke rogiyo ke liye faydemand :- Badi Elaichi Dil ke mareezo ke liye kafi faydemand hain. Isse blood pressure bhi control mein rahta hain. Agar aap niyamit roop se Badi Elaichi ka sewan karenge to aapka dil healthy rahega. Yeh khoon ke jamne ki sambhavna ko bhi kafi had tak kam kar deta hain.


11. Khoon ke pravaah ko behtar banata hain :- Badi Elaichi mein Vitamin C aur jaroori khaneez bharpoor matra mein paye jate hain. Iske niyamit sewan se blood ka flow behtar hota hain aur sharir sehatmand bana rahta hain.

12. Daanto ki samsya mein ramban : - Badi Elaichi ke sewan se Daanto aur Masoodho ke infection se chhutkara paya ja sakta hain. Saath hi saanso ki badboo bhi door hoti hain.