Header Ads

Gudhal ke phool ke fayde (Benefits of Hibiscus flower)

Gudhal FlowerGudhal ek khoobsurat phoolo wala paudha hain, Ise Gurhal, Jabakususm, Japakusum, Arhul aadi bhi kaha jata hain, Is ke bade hi fayde hain. Yeh aam taur par tropical aur garm shetro mein paya jata hain. Is paudhe ki kai prajatiya payi jati hain, aur sabhi apne khoobsurat phoolo se jani jati hain. Mazedaar baat yeh hain ki Yeh Gudhal ka Phool, South Korea, Malaysia aur Hatay State ka National Flower ( Rashtriya Phool) hain. Bharat mein bhi is phool ko kafi shubh mana jata hain aur kai dharmik sanskaaro aur Puja paath aadi ke liye istemal kiya jata hain. Prachin Bharatiya Ayurveda mein Gudhal ka istemal kai tarah ki bimariyo ko door karne ke liye kiya jata tha.



Gurhal ki patti ka istemal na sirf aushadhiya, balki kai roopo mein kiya jata hain. Kai baar to iska istemal park ya garden ko sajane ke liye kiya jata hain. Gudhal ki sukhi patti ka istemal Mexican jaise kai foods ko sajane ke liye bhi kiya jata hain. Saath hi iski patti se chaaye bhi banai jati hain, Jo alag-alag desho mein kai naamo se prachalit hain. 


Kai researches ke jariya yeh baat scientifically proof ho chuki hain ki Gurhal ki patti mein aushadhiy gun paye jate hain. 2008 mein USDA ke adhyan mein yeh paya gya ki Gudhal ki Chaaye (Tea) peene se blood pressure kam hota hain. Ayurveda mein Lal aur Safed Gudhal ko aushadhiya guno se bharpoor mana jata hain aur iska istemal khansi, baalo ke jhadne aur baalo ke safed hone ki samsya se nijat paane ke liye kiya jata hain. Saath hi Gudhal Anti-Oxidant guno se bharpoor hota hain aur iska istemal Anti-Aging ke roop mein kiya jata hain. Iske alawa Gurhal ki patti se bani chaay ka istemal sharir mein body mein stamina jagane ke liye bhi kiya jata hain. 


Aaiye jante hain Gurhal, Gudhal (Arhul, Adhul) ke phool, patte ke kuch aushadhiya guno ke baare mein ;- 


1. Hair Conditioner :- Gudhal ki patti aur iske phool ki pankhoodi se bana paste Natural Hair conditioner ka kaam karta hain. Jab ise shampoo ke baad se lagaya jata hain to yeh baalo ka rang kala karta hain aur dandruff se bhi chhutkara dilata hain. 


2. Chaay (Tea) :- Gudhal ki patti se bani chaay ka istemal kai desho mein aushadhi ke roop mein kiya jata hain. Agar aapko Kidney ki samsya hain to isse bani chaay bina shakkar (Chini) ke le. Saath hi isse depression ke samay mood bhi theek ho jata hain. 

3. Skin Care :- Apne khas guno ke karan Gudhal ka istemal Cosmetic Skin care mein kiya jata hain. Traditional Chinese Medicines mein Gudhal ki patti ka istemal Anti-Solar Agent ke roop mein kiya jata hain, Kyonki yeh Ultra-violet rays ko sokh leta hain. Saath hi iska istemal Skin ki jhurriyo se nijat paane ke liye bhi kiya jata hain.


4. Blood pressure kam kare :- Research mein yeh pata chala hain ki Gudhal ki patti se bani chaay ko peene se Blood pressure ki problem se nijat milti hain. Isliye blood pressure ko kam karne ke liye iska niyamit sewan karna chahiye. 


5. Ghaav par bhi asardar :- Gudhal se nikale Tel ka istemal Khule ghaav aur Cancer se huye ghaav par kiya jata hain. Saath hi yeh Cancer ke shuruvati steps mein kafi kargar hota hain. 


6. Cholesterol ko kam kare :- Gudhal ki patti se bani chaay LDL cholesterol ko kam karne mein kafi asardar hota hain. Isme paye jane wale tatv Artie mein plague ko jamne se rokte hain, Jisse cholesterol ka level kam hota hain.


7. Sardi aur khansi mein faydemand :- Gudhal ki patti mein bharpoor matra mein Vitamin C paya jata hain. Jab chaay ya anya roopo se iska sewan kiya jata hain to Yeh Sardi aur Khansi ke liye kafi faydemand hota hain. Isse aapko sardi se jaldi rahat milegi.

8. Wajan kam karne aur Pachan mein sahayak ;- Gudhal ke sewan se bhookh ki ichchha shant hoti hain. Aise mein yeh wajan ko kam karne mein kafi madadgar hota hain. Arhul ki patti se bani chaay peene se aap kam khana khayenge aur aapki pachan kriya bhi tez hogi. Isse sharir mein gair-jaroori Fat nahi banta hain.


9. Regular Periods Cycle :- Gudhal ki patti se bani chaay ke niyamit sewan se mahilaon ke sharir mein Estrogen ka level kam hota hain. Isse sharir mein hormone ka balance bana rahta hain. Yehi wajah hain ki periods ke dauran koi dikkat nahi aati hain.


10. Anti-Aging :- Gudhal mein kai tarah ke Anti-Oxidants paye jate hain. Yeh sharir mein mauzood Free-Radicals ko hatata hain, Jisse Umar badhne ki prakriya dheemi ho jati hain aur budhapa jaldi nahi aata hain.