Header Ads

Smartphone se jude bharm aur satya (Myths & facts about smartphone)

smartphones Myths & facts
 Labtop ho ya Computer, har Technique ke baare mein log kuch myths ko manane lagte hain. Aisa hi smartphones ke saath bhi hain. Smartphone ke baare mein kuch aise hi bharm (Myths) hain jinke baare mein hame pata hona jaroori hain.



Jyada Megapixel matlab accha photo :- 

Phone ke camera ki photo quality ko log aksar Megapixel se mante hain. Lekin yeh behtar photo ki guaranty nahi hain. Jyada Megapixel se sirf photo ko bada print nikalane mein madad milti hain. Lekin acchi pictures lena chahte hain to iske liye censor aur aperture size megapixel se jyada mayne rakhta hain. 


Magnet touch hone se delete ho jata hain data :- 

Smartphone mein use hone wali Flash storage Solid State Drive type hoti hain. Isliye is par magnet ka koi asar nahi hota hain. 


Brightness , Live Wallpaper se battery kill hoti hain :- 

Phone mein Live Wallpaper lagane, Bluetooth On rakhne aur Automatic Brightness se battery par bahut jyada asar nahi padta hain. Isse battery ka kharch badhta hain , lekin sirf 2% jyada battery khatm hoti hain.     
Is wajah se jaldi khatm hoti hain battery :- 

Phone ki battery jaldi khatm hoti hain, agar kuch apps sahi tarike se start nahi hote hain. Ya phir background processing sahi nahi hain. Iske alawa Wi-Fi on rakhne se bhi battery ki khapat jyada hoti hain. Matlab phone mein functioning jitni jyada hogi battery utni jyada kharch hogi. Battery ki size aur capacity ka is par bahut jyada asar nahi padta hain.

Jyada chalti hain badi battery :- 

Log akasar yeh mante hain ki badi battery ka performance jyada behtar hota hain. Lekin aisa nahi hain, Battery ki performance Processor aur Apps par depend karti hain. Jaise Quad-Code Quallcom ke mukable Octa-Core Processor ke saath battery ki performance jyada behtar hoti hain.