Lenovo ne launch kiya India ka sabse sasta 4G Smartphone.
Chinese Handset maker company Lenovo ne Thursday (20-August-2015) ko India ka sabse sasta 4G smartphone launch kar diya hain. Lenovo A2010 naam ke is smartphone ki keemat 4,990 rupaye rakhi gyi hain aur Yeh E-Commerce website par bikri ke liye available hain.
Lenovo A2010 Abhi tak Bharat (India) ka sabse sasta (Cheapest) 4G smartphone mana ja raha hain. Lekin isse aane wale samay mein 4G smartphone aur saste hone ki umeed badh gyi hain.
4.5 Inch ki hain display
Lenovo Company ne apne is naye smartphone A2010 mein Android ka operating system diya hain. Isme aapko Android ka latest Lollipop Os milega. Vahi is handset mein aapko 4.5 inch ki display milegi. Iske alawa agar iske processor par gaur kare to isme aapko 1.0 GHz ka 64-bit quad-core MediaTek MT6735m processor milega. Vahi Lenovo A2010 mein aapko 1 GB ki RAM milegi. Agar iske storage capacity ki baat kare to Isme 8GB ki internal Memory milegi, Jise 32 GB tak Micro-SD card ke dwara expand kiya ja sakega.
5 MP ka rear camera
Lenovo company ne apne is naye handset A2010 ko kafi stylish banaya hain. Iska beautiful design users ko attract kar sakta hain. Isme aapko 5 Megapixel ka rear camera milega, Jisme LED flash hoga. Iske saath hi 2 megapixel ka front camera bhi mauzood hoga. Agar connectivity ki baat ki jaye to Lenovo A2010 mein 4G, 3G, Bluetooth, Wi-Fi, GPS aadi ki suvidha milegi. Battery Back-up mein bhi yeh jabardasht hain. Isme aapko 2000 mAh ki battery milegi. Color variants mein yeh aapko Black aur White 2 rango mein milega.
Full Specification of Lenovo A2010 Cheapest 4G Smartphone in India :-
Full Specification of Lenovo A2010 Cheapest 4G Smartphone in India :-
Model | Lenovo A2010 |
Sim | Dual-SIM |
Display | 4.5-inch (854 x 480 pixels) IPS display |
Memory | RAM 1GB, ROM 8GB, External Card – 32 |
Connectivity | GPRS, EDGE, 4G, 3G,Wifi, Bluetooth, USB |
Camera | Front- 2, Rear – 5MP with Flash |
OS | Android OS, v5.1.1 (Lollipop) |
CPU | Quad-core 1.0 GHz MediaTek's MT6735M 64-bit SoC |
GPU | Mali-T720 |
Battery | 2000 mAh |
Price | Rs. 4,990 |
Post a Comment