Header Ads

Aisi Cheezo ko ek saath mila kar na khaye, Varna yeh pahucha sakte hain aapko nuksaan

Dangerous Food Combination In cheezo ko ek saath mila kar nahi khana chahiye, Varna yeh zehar tak ban sakti hain. Janiye Food combination mein kya ek saath mila kar nahi lena ya khana chahiye. Kya aapko yaad hain aapki Daadi ya
Naani aapko aksar Doodh peene ke baad khatti cheeze khane se mana karti thi. Yeh Nature ka rule hain ki kai special cheezo ko ek saath mila kar nahi khaya ja sakta hain. Agar aapne doodh ke saath Nimbu mila kar pee liya to yeh aapke pet mein Acid banayega aur aapko preshani ka samna karna pad sakta hain. Is tarah ki preshaniyo aadi se bachne ke liye aapko yeh janna behad jaroori hain ki kin-kin cheezo ko ek saath mila kar nahi khana ya peena chahiye, Jisse aapki tabiyat kharab na ho.


Aise khadya padarath jinhe ek saath mila kar nahi khana chahiye   (Dangerous Food Combination) :-

1. Doodh aur Nimbu, Santra aur khatte phal :- Doodh aksar pachne mein samay leta hain. Agar aap Doodh mein Nimbu nichod de aur thodi der baad dekhe to vah fatt chuka hota hain. Isi tarah se agar yeh mixture aapke pet mein chala jaye to acidity hone ki wajah se Gale mein jalan aur Pet mein Gas ban sakti hain.




2. Protein aur Meetha :- Kya aap unme se hain jo Chicken ke saath juice ya meethaai khana pasand karte hain ? Phir to aapko pet ki bimari jaroor hogi kyonki Meetha Protein ko asaani ke saath hazam hone nahi deta hain. Isliye khane ko pachne mein jyada samay lagta hain aur is wajah se aapko badhajmi ho sakti hain. Hamesha yaad rakhe ki Dessert ko apni dinner table se door rakhe aur agar mann bhi kare to koi aisa dessert khaye jisme Shahad ka pryog kiya gya ho.

3. Starch se bharpoor Food aur Fruits :- Phal (Fruits) jaldi hajam hone wale product hain, vahi starch se bharpoor bhojan jaise Chawal aur Aaloo ko pachne mein kafi samay lagta hain. Isliye hame inhe ek saath khane se bachna chahiye.

4. Protein aur Starch :- Kya aapko pata hain ki hum aksar Aaloo ke chips aur Fry kiye gye chicken ko ek saath nahi khate hain. Aisa isliye kyonki dono ke pachne ka tarika aur samay alag-alag hota hain. Protein seedhe Pet mein hajam hoti hain aur vahi Starch ko hajam hone ke liye Choti Aant mein jana padta hain. Isliye agar Protein hazam bhi ho jata hain to apne saath Starch ko jaldi hazam hone nahi deta hain, jiski wajah se pet mein khana zehareela ho jata hain.

5. Mint aur Cold Drinks ;- Pepper Mint ya Pudine ko kabhi bhi Cold Drink Peene se pahle ya Baad mein nahi khana chahiye, Varna in dono ke mixture se Pet mein Cyanide banne ka khatra rakhta hain. Isliye Cold Drink ke saath Mint wali toffy aadi ko nahi khana chahiye. Varna aapka Pet phull jata hain aur yeh fatt bhi sakta hain. Matlab aapko Cold drink ke saath bhool kar bhi Mouth Freshner Mint aadi nahi leni chahiye.