Header Ads

Akhrot khane ke fayde (Benefits of walnut)

Photo of Walnut Akhrot khane ke fayde bahut hain. Akhrot ek behatrin food hain. Isme ALA (alpha lipoic acid) hota hain, jo behad upyogi tatv hain. Shakahari (Vegetarian) logo ke liye Akhrot (Walnut) kudrat ka vardaan hain. Ise kai tarah se apni diet mein shamil kiya ja sakta hain. Maslan Salad ke saath, Pasta, Dips, Spread aur Ice-cream aur brawny ke saath iska upyog asaani se kiya ja sakta hain. 

Swasth ke lihaz se Akhrot ko bahut accha mana jata hain. Akhrot mein fibers, Vitamin B, Magnesium aur Anti-Oxidants adhik matra mein hote hain. Yeh baalo aur tavcha ko healthy rakhta hain. Isme Omega-3 Fatty Acid hota hain. Yeh Asthma, Arthritis, Skin problems, Eczema aur Psoriasis jaisi bimariyo se suraksha karta hain. Rojana 2 Akhrot khane ke anek labh hain, Aaj hum aapko batane ja rahe hain Akhrot khane se hone wale kuch faydo ke baare mein :- 

1. Akhrot khane se haddiya (bones) majboot hoti hain. Saath hi yeh daanto ke liye bhi accha hota hain. Dentist bhi healthy daanto ke liye iske rojana sewan ki salah dete hain. 


2. Akhrot mein Omega-3 Fatty Acid hota hain. Isliye iska sewan dil ki bimariyo ko door karne ke liye behtar mana gya hain. 

3. Akhrot ke aakaar (Size) ko dhyaan se dekhne par uska shape manav ke dimaag ke jaisa lagta hain. Prachin Chinese manyata ise mahaj ek coincident nahi manti hain. Is tradition ke anusaar Akhrot mein kai saare gun hote hain. Ise khane se yaddasht durust rahti hain. Saath hi maansik thakaan bhi door ho jati hain. 

4. Akhrot sharir mein cancer-rodhi guno mein badhotari karta hain. Isme Anti-Oxidants hote hain, Jo Cancer cells ko ikattha hone se rokte hain. Akhrot breast cancer ko rokne mein vishesh roop se labhdayak mana jata hain. 

5. Akhrot khane se sharir se Melatonin Hormone ka nikaas hota hain. Jisse Body ko aaraam milta hain. Yahi karan hain ki rojana Akrot khane se gahri aur acchi neend aati hain.   


6. Akhrot Khoone mein cholesterol level ko kam karta hain. Yeh pachan mein madad karta hain aur pet se related problems ko door karta hain. Ek din mein 2-3 Akrot khane se wajan kam hota hain. 

7. Akhrot mein sabse jyada Vitamin E aur Protein paya jata hain. Iske niyamit sewan se baal aur skin dono healthy rahte hain. Isme Meat ke mukable jyada protein paya jata hain, Yadi aap vegetarian hain to ise rojana khane ki aadat daal le. 

8. Rojana Akrot khana diabetes ke rogiyo ke liye faydemand hota hain. Yeh rakt vaahikaaon ko faila deta hain aur Metabolism syndrome ko kam kar deta hain. 

9. Akhrot khane se Sperm count badhta hain. Jo vyakti Pita (father) banne ki iccha rakhte hain unke liye Akhrot kafi labhkari hota hain. 

10. Akhrot khane se Pet ka cancer se bacha ja sakta hain. Isse khane se pet ke cancer mein hone wale dard mein kami aati hain aur kamjori bhi mahsoos nahi hoti hain. 

11. Akhrot khane se Jeevan lamba hota hain. Iske niyamit sewan se jeevankaal (Life) badhti hain aur aapka jeevan urja (Energy) se bharpoor rahta hain. 

12. Pregnant mahilaon ke liye Akhrot vishesh roop se labhkari hota hain. Iske sewan se garbh mein pal rahe bacche ko allergy nahi hoti hain aur uski growth ke liye jaroori tatv bhi mil jate hain. 

13. Akhrot khane se Tension kam hoti hain, Iske sewan se blood pressure control mein rahta hain aur sharir ko jaroori energy milti hain. 

14. Agar aap apne stno (Breast) ko soodaul aur healthy banaye rakhna chahti hain , To Akrot ka niyamit sewan kare. Isse aapko kafi labh hoga.