Header Ads

Chai ki kahani (History of Tea)

Photo of Kadak Indian TeaKya aap jante hain 5 Hazaar saal purana hain Chai (chaaye) ka itishas! Duniya bhar mein Karodo logo ki subah ki shuruvaat Chai (Tea) ki pyali (cup) se hoti hain. Ek cup chaaye hame energy se bhar deta hain, kya aap jante hain chaai ki shuruvat kaise hui thi. Kaha jata hain ki Chaaye ki shuruvat 5 hazaar saal pahle China mein hui thi.


Aisa mana jata hain ki China ke King Shen Nung (Chinese Emperor Shen Nung) roj garam paani piya karte thay. Ek din unke liye garden mein paani ubaala ja raha tha, tabhi ek ped ki kuch pattiya oos paani mein gir gyi. Paani ka rang badal gya aur usme se khusboo aane lagi. Raja ne jab veh paani piya to usay bahut hi accha laga aur yahi se shuruvaat hui Chaai ki. Dheere-dheere Raja ke mahal se nikal kar pure China ka favorite drink ban gya chaay.

Khas baat yeh thi ki China duniya bhar se aaye logo ki mehman-nawaji Chaay se karta tha, Lekin kabhi bhi iski recipe kisi ko nahi batayi. Kai saalo ke baad ek Buddhist Guru (Bauddh Guru) ko kisi tarah se Chaay ka rahsya pata chal gya aur unhone Japan mein jakar sabko iski recipe bataai. Phir kya tha Japan mein bhi log chaay ki chuskiyo ke aadi ho gye. 


Japan se chaai ja pahucha Europe ke desho mein jaha England ke log bhi chaaye ka maja lene lag gye. Bharat mein chaaye ki shuruvat ki kahani behad dilchasp hain. Darasal Governor General Lord Bentinck ne 1834 mein jab Bharat (India)  aaye to unhone Assam mein dekha ki vaha ke log Chaay ki pattiyo ko paani mein ubaal kar peete hain jise vah dawaai ki tarah istemal karte thay. Bentinck ne logo ko Chaaye ke baare mein jankari di aur ek Committee ka gathan kiya, jiske baad Chaai ka tradition Bharat mein bhi shuru ho gya. Iske baad 1835 mein Assam mein Chaaye ke baag lagaye gye. Bharat mein 1953 mein Tea Board ki sthapna ki gyi, Jisne Bharat mein hi nahi Balki International Bazaar mein bhi tea ka production phailaya. Angrejo ki income ka main source ban gya tha chaay.