Header Ads

Android Smartphone Iphone se better option kaise ho sakte.

Android & AppleApple ke iOS aur Anroid ki ladaai kabhi khatm hoti nazar nahi aati. Ek taraf Apple ke high Budget smartphones hain to dusri taraf Samsung, HTC, Motorola jaisi companies ke low budget smartphones jo kam keemat mein sabhi features dete hain. Aise mein hum aapko bata rahe hain aise karan jinse pata chalta hain. ki Apple ke iPhone ke mukable Android Smartphones behtar option ho sakte hain.


Fast Sink 

Android smartphones Google, Facebook aur other apps ke saath behtar aur fast sink ho jate hain. Aise mein in sites ka istemal karne mein aapko time barbaad nahi karna padta hain. Jabki, iPhone par inhe Sink karne ke liye pahle iTunes ke saath unhe sink karna padta hain.




Memory Card

Android Smartphone users Micro SD card ki madad se apne smartphone ki memory badha sakte hain. Jabki iPhone users aisa nahi kar sake hain, Unhe 16,32 ya 64 GB memory card se hi kaam chalana padta hain.



Battery Replacement

Market mein kai saare aise Android smartphones hain jo aapko purani battery badalkar nayi lagane ki suvidha dete hain. Lekin iPhone users ke liye yeh suvidha nahi hain.



Common Charger

Charger ke mamle mein Android Smartphones iPhone ko peeche chhod dete hain. Bata de ki iPhone ke charger se kisi aur phone ko charge nahi kiya ja sakta hain. Jabki Android users is mamle mein khud ko lucky maan sakte hain, Kyonki Android ke lagbhag sabhi smartphone ek jaise charger se charge kiye ja sakte hain.



Personal Costomization 

Android ek open source hain. Ise users jis tarah se chahe oos tarah se customize kar sakte hain. Isme users ko themes, Launchers aur kai apps install karne ki suvidha milti hain. Lekin is segment mein iPhone peeche rah jata hain. iPhone mein vahi purana iOs icon hain.

Budget Friendly 

Budget ke mamle mein Android Smartphones ne baazi maar li  hain. Android phones iPhone se kanhi jyada budget friendly hain. Veh kam budget mein aapko jaroorat se jyada features dete hain. Halaki market mein kai aise smartphones hain jo iPhone se bhi jyada mehnge hain lekin Yeh features ke mamle mein bhi utne hi behtar hote hain. Matlab Android Smartphone aapko 2500 rupaye se lekar 50000 rupaye tak ki keemat mein mil jayenge. Lekin iPhone 18000 rupees se start hokar alag-alag variants mein alag-alag price par milenge. iPhone jyada mehange hote hain. Isliye Android smartphones ki range aisi hain jise sabhi log apni economy ke anusaar khareed sakte hain.

Android ya iOS

Aajkal koi bhi outdated phone istemal nahi karna chahta hain. Aise mein Android Smartphones ka ek plus point yeh bhi hain ki yeh samay-samay par update hote rahte hain. Bata de ki iPhone users ko 1 saal baad hi update milta hain. Isliye better performance, Price aur anya mamlo mein Android behtar vikalp ho sakta hain.

Behtar Hardware Option 

Apple apne har device mein ek hi hardware ko modify karke istemal karta hain, Lekin Android smartphones companies apne phone ko fast banane ke liye naye-naye hardware ka istemal karti rahti hain. Iske saath hi designs aur looks mein bhi Android phones behtar hote chale ja rahe hain. Covered design, Flexible phone aur smart look. Vo din bhi door nahi jab market mein transparent Android phone bhi aa jayenge.