Body se zehreele chemical ko nikalne wale food (Best food for Detoxify)
Khane peene aur Air pollution ke jariye body mein kai saare aise chemical daakhil ho jate hain, Jo health ke liye bahut hi khatrnaak hote hain. Vaise to hamare Liver aur Kidney inhe filter karke body se bahar nikaal dete hain, Lekin kuch food items aise bhi hain, jo inke toxic effects ko hi khatm kar dete hain. Aaiye jante hain aise foods ke baare mein jo sharir se zehreele chemicals ko khatm kar dete hain.
1) Kheera (Cucumber) :- Kheere mein 95% paani paya jata hain jo Urine ke jariye body se zehreele chemicals aur acid ko bahar nikal deta hain. Kheere ko salad ke roop mein khana sabse jyada faydemand rahta hain. Body ke liye jaroori paani ki kami ko Kakdi kha kar pura kiya ja sakta hain. Paani sharir se aadhe se jyada nuksaandayak chemicals ko bahar nikalne mein madad karta hain aur unhe detoxify karta hain.
2) Hara Dhaniya :- Iske Anti-Fungal, Anti-Septic ingredients dangerous chemicals ko cells se door rakhte hain. Saath hi Liver ki safaai karne wale enzyme ko badhate hain. Iski pattiyo ko kaccha chaba kar, Khane mein dalkar ya iske beejo ko khane se bhi sharir mein mauzood hanikarak chemicals ko asaani ke saath door kiya ja sakta hain.
3) Hari Salgam :- Anti-Oxidants aur Sulfur se bharpoor Shalgam Detoxification (Poisons chemicals ke asar ko khatm ) karne wale enzyme ko activate karta hain. Saath hi isme calorie bhi bahut kam hoti hain, Jisse yeh wajan ko bhi control karta hain. Hari Shaljam ko khane se cholesterol bhi kam hota hain, Saath hi yeh heart attack aur stroke ke khatre ko bhi kam karta hain. Osteoporosis jaisi bimari se bachne ke liye bhi iska istemal karna faydemand rahega.
4) Akhrot (Wall Nut) :- Isme Omega-3 hota hain. Yeh heart ko to healthy rakhta hi hain saath mein Detoxification ka kaam bhi badhiya tarike se karta hain. Isme mauzood Copper, Magnesium aur Biotin Cancer ki bimari ko bhi door rakhte hain. Ise khane se Prostate Cancer ki sambhavna ko kam kiya ja sakta hain. Anti-Oxidants hamare sharir ke liye bahut hi jaroori hain. Yeh free radicals ko door karke samay se pahle aane wale budhape ko khatm karta hain.
5) Surajmukhi ke beej :- Selenium Chemical aur Vitamin E se bharpoor yeh beej Liver ke kaam karne ki power ko badhata hain. Yeh sharir ke bad cholesterol ko banane se bhi rokta hain. Isme mauzood magnesium dil ko majboot rakhne mein madad karta hain. Yeh blood pressure ko badhane wale Chemical Dopamine D-1 ko bhi khatm kar deta hain.
Post a Comment