Fitkari ke fayde (Benefits of Alum)
Fitkari ke fayde kya hain? Phitkari ka upyog kaise kare? Phitkari ke gharelu nuskhe bataye? Phitkari ka istemal khas-taur par baarish ke mausam mein paani ko saaf karne ke liye kiya jata hain. Fitkari ko log saalo se istemal karte aaye hain. Fitkari aam-taur par sabhi gharo mein upyog hoti hain. Khas karke Shaving karne ke baad aksar phitkari ko mooh par lagaya jata hain. Lagbhag har ghar mein milne wala phitkari mein kai saare gun hote hain, Yeh anti-bacterial hoti hain, Isliye yeh bacteria ko khatm karti hain. Daant dard mein yeh khas taur par faydemand mani jati hain. Phitkari (Alum) hamare kai kaam aati hain. Janiye Phitkari (Alum) ke kuch upyog ke baare mein.
Yeh Red aur White 2 tarah ki hoti hain. Jyadatar Safed Fitkari ka hi istemal kiya jata hain. Janiye Fitkari ke fayde aur iske khas gun :-
- Ek liter paani mein 10 gram Fitkari ka churan ghole. Is ghol se rojana seer dhone se juye mar jati hain.
- Kaan mein funsi ho ya mavaad bahti ho to ek pyaale mein thodi si phitkari pees kar paani mein ghole aur phichkari se kaan ko dhoye.
- Phoolai huyi Fitkari ek tola aur Mishri 2 tola dono ko maheen pees kar rakh le. Ek-ek masha rojana subah khane se Dama ke rog mein labh hota hain.
- Jin logo ke sharir se jyada paseena aata ho ve log nahate samay paani mein Fitkari ko ghol kar nahaye. Paseena aana kam ho jayega.
- Aadha gram peesi huyi Fitkari ko Shahad mein mila kar chaantane se Dama aur khansi mein fayda milta hain.
- Shaving karne ke baad Chehre par Fitkari lagane se chehra mulayam ban jata hain.
- Fitkari ko chehre par lagane se chehra gora banta hain aur skin tone ho jati hain.
- Phitkari ko nahane ke paani mein ghol kar istemal karne se khujali aur sharir se badboo aana band ho jata hain.
- Khaj-Khujali wali jagah ko Phitkari wale paani se dhoye aur phir oos jagah par thoda sa kadwa tel laga le. Oos par thoda sa kapoor daal le. Khaj-khujali door hogi.
- Bhuni huyi Fitkari ko 1-1 gram subah-shaam paani ke saath lene se khoon ki ulti band ho jati hain.
- Yadi chot ya kharonch ki wajah se jakham ho gya ho aur khoon bah raha ho, to ghaav ko phitkari ke paani se dhoye aur ghaav par fitkari ka churan banakar chidakne ya ragadne se jakham se khoon aana band ho jata hain.
- Dedh gram Fitkari powder ko faankar upar se doodh peene se chot lagne se hone wala dard door ho jata hain.
- Aadha chammach Shahad aur 2 gram Fitkari peesi hui, Kisi choti si dibiya mein dalkar dhakkan band karde. Shahad aur Fitkari ke is mishran ko subah-shaam aankho mein daale. Isse aankho ki lali bhi door hoti hain.
- Keede-makaude ke kaat lene par Phitkari ke tukde ko oos jagah ragade. Isse sujan, ghaav aur lalima door hogi.
- Sardiyo ke samay mein paani mein jyada kaam karne se haatho ki ungliyo mein sujan ya khujali hone lagti hain, Isse bachne ke liye thode se paani mein fitkari dalkar ubaal le. Ab is paani se ungliyo ko dhone se sujan aur khujali mein aaram milta hain.
- Rojana dono time Fitkari ko garam paani mein gholkar kulla karne se daanto ke keede aur mooh ki badboo door ho jati hain.
- Sang-E-Jarahat aur Fitkari in dono ko lekar pees le. Aadha gram is churan ki faanki taza paani ya Gaay ke doodh ke saath subah, Dophar aur shaam din mein teen baar peene se likoria mein aaram milta hain. Phitkari ke paani se Yoni (Vagina) ko subah-shaam dhoye.
- Chehre se jhurriya mitane ke liye chehre ko dho le. Phir Fitkari ko thande paani se geela karke chehre ke aas-paas halke se ragde. Ab ise sookh jane de aur phir haatho se chhuda kar ise saaf kare. Kuch mahino tak iska istemal karne se aapka chehra chamakdar aur young ban jayega.
- Dast aur Pechish ki preshani se bachne ke liye thodi Fitkari ko bareek pees kar bhoon le aur ab is bhooni huyi fitkari ko gulab jal ke saath mila kar peene se khooni dast aana band ho jata hain.
- Tonsil ki problem hone par garam paani mein chutaki bhar Fitkari aur Namak dalkar garare kare. Isse Tonsil ki problem mein jaldi hi aaram mil jata hain.
- 10 Gram Fitkari ke churan mein 5 Gram Sendha Namak mila kar manjan bana le. Is manjan ke rojana istemal se daanto ke dard mein aaram milta hain.
- Fitkari aur Kali Mirch pees kar daanto ki jado mein malne se daant dard mein fayda hota hain. Bhooni hui Fitkair 1 tola, Bhoona hua Tootiya Chhah masha, Kattha ek tola, In sabko koot-peeskar manjan bana kar lagane se bhi daanto ke dard mein aaram milta hain.
- 10 Gram Fitkari ke churan mein 5 Gram Sendha Namak mila kar manjan bana le. Is manjan ke rojana istemal se daanto ke dard mein aaram milta hain.
- Fitkari aur Kali Mirch pees kar daanto ki jado mein malne se daant dard mein fayda hota hain. Bhooni hui Fitkair 1 tola, Bhoona hua Tootiya Chhah masha, Kattha ek tola, In sabko koot-peeskar manjan bana kar lagane se bhi daanto ke dard mein aaram milta hain.
Post a Comment