Header Ads

Gale ka Cancer kya hain aur uske lakshan aur ilaj kya hain. (Throat Cancer in Hindi)

Throat Cancer ki puri jankariAawaz ki jawabdari Gale mein mauzood swar peti yani ki Larynx ki rahti hain. Kai baar Cigarette aur Tobacco sewan ke karan Larynx prabhavit hone lagti hain. Awaaz mein bharipan aur Vyakti Larynx Cancer ki chapet mein aa jata hain. Janiye Gale ka Cancer (Larynx cancer) kya hain :-

Larynx (Swar Peti) ke jariye hi aadmi ki aawaz aati hain. Iske saath hi yeh fefdo ki raksha bhi karta hain. Hamare desh mein cancer rogiyo mein se 4.8% ko Swar Peti ka cancer hota hain. Inme se jyadatar purush hote hain. Cancer se hone wali mauto mein 4.4% maute Gale ke cancer ki wajah se hoti hain.

3 Tarah ke hote hain Larynx Cancer 

Yeh Cancer 3 tarah ka hota hain. Supraglottis, Glottis aur Subglottis. Hamare desh mein Supraglottis Cancer bahut hi aam hain. Iske baad Glottis cancer jyada hota hain. Subglottis Cancer ki sankhya jyada nahi hain. Tobacco chewing, Smoking aur Sharab se inke hone ki aashanka rahti hain. In sabme Tobacco sabse jyada cancer karak padarath ke roop mein Laryngeal cancer ko badhawa deta hain. 40 saal ki umar ke baad is tarah ka cancer jyada pakad mein aata hain. Halaki ki aisa nahi hain ki iske baad ki umar mein iske hone ki ashanka nahi rahti. Jyadatar yeh kamjor Economy level ke logo mein paya jata hain. 


Throat Cancer (Gale ke cancer) ke lakshan kya hote hain ?

 Is tarah ke cancer mein awaaz mein bhaaripan hota hain. Yadi aapki awaaz mein lagatar bhaaripan hain aur awaaz normal nahi ho rahi hain to yeh is bimari hone ke karan ho sakti hain. Yadi rog badh jata hain, to isse saans lene mein bhi takhleef aati sakti hain, Kyonki iske badh jane ke karan saans ke aane-jaane ka rasta nahi mil pata hain. Mareez ko nigalne mein preshani hoti hain. Iske alawa nigalne mein dard hona aur wajan kam hone ki shikayat ho sakti hain. Yeh bhi ho sakta hain ki mareez ke kuch bhi liquid drink lene par cough ki problem ho, Kyonki Vocal Cord (Swar ke taar) Itne powerful nahi rah jate ki veh ise chhaati mein jane se roke. Saath hi kuch kha nahi paane ki wajah se sharir mein kamjori aane lagti hain. Kuch mareez kaan mein bhi dard ki shikayat karte hain. Iske alawa mareez ke gardan mein sujan aa jati hain, Kyonki Cancer tab gardan ke Lymph nodes tak phail chuka hota hain.

Gale ke cancer ki jaanch kaise hoti hain?

Aisi situation mein mareez ke  Aerodigestive tract ki jaanch ki jati hain. Swar peti mein cancer ke test ke liye Indirect laryngoscopy jaanch ki jati hain taki pata chal sake ki rog kahan tak phaila hua hain. Yeh bhi pata chalta hain ki Vocal cord kaisa hain. Mareez ke gardan ki bhi jaanch ki jati hain, Taki pata chal sake ki cancer se gale ki granthiya to prabhavit nahi ho rahi hain. Rogi ka primary checkup hone ke baad usay gale ka CT-Scan karwane ke liye kaha jata hain. CT scan se hi pata chalta hain ki cancer kitna phaila hain ya nahi. Isi se pata chalta hain ki rog Swar-peti ke bahar phail raha hain ya phir Thyroid cartilage ko nuksaan pahucha raha hain. Yeh bhi dekhna hoga ki Cancer kanhi aahaar nali ko to prabhavit nahi kar raha hain. Cancer se sharir ke kin-kin hisso par asar kiya hain, Usse aage ka ilaj tay hota hain. Iske alawa Chhati ka X-ray aur CT scan bhi karte hain, Taki yeh pata chal sake ki cancer kanhi fefdo tak to nahi pahuch chuka hain. Yeh ho jane ke baad mareez ko  Anesthesia dekar behosh karte hain aur Laryngoscopy se bimari ki pahuch pata karte hain. Iske baad Biopsy ki jati hain. Biopsy karne se hi cancer ki pushti ki jati hain.

 Throat Cancer ke treatment (Gale ke cancer ke ilaj) :-

Saans lene mein preshani :- Mareez ko cancer ke badh jane par agar saans lene mein preshani aati hain to jaroorat padne par emergency Tracheotomy ki jati hain. Isme ek tube gale se saans nali mein dalte hain taki saans ki aawajahi ko asaan banaya ja sake. Agar saans lene ki jagah kam dikhti hain to Direct Laryngoscopy jaanch ke dauraan bhi Tracheotomy ki ja sakti hain. Cancer ki gambhirta stage se tay hoti hain ki kis tarah ka ilaj kiya jayega. Third aur Fourth Stage mein Multi Modality  Treatment ki jaroorat padti hain. Ise Chemo-Radiation ya Surgery ki jati hain. Operation ke baad phir Radiotherapy ya Chemotherapy ki jaroorat padti hain.

Surgical Robot ka upyog :- First aur Second Stage mein ya phir primary situation mein Microlaryngoscopic surgery ki ja sakti hain. Yeh surgery Microscope ki madad se ki jati hain. Tumor ko saaf karne mein laser ka upyog kiya jata hain. Isme Surgical Robot ka istemal karte huye in dino kuch jagaho par yeh surgery ki ja rahi hain. Iske alawa Radio Therapy ke jariye bhi is tarah ke cancer par kaboo paya ja sakta hain. 3rd aur 4th stage mein is tarah ke tumor ka ilaj iski pahuch par depend karta hain. Yani ki sharir ki level par hain, Yeh dekhna padta hain. Advance tumor ki aamtaur par surgery ki jati hain, Vah Total total laryngectomy surgery kahlati hain. Kuch chuninda mareezo mein hi aanshik Laryngectomy ki ja sakti hain. Isme hum Larynx ke function ko barkarar rakhne ki puri koshish karte hain. Larryngectomy mein saari Larynx ke alawa gale mein Lymph ki granthiya bhi hata di jati hain. Yeh ek permanent tracheostoma (Chhed) ke jariye gale se hi saans ki aawajahi shuru ki jati hain.


 Speech Therapy ki jaroorat :- Chunki Larynx ko hata diya jata hain, Is wajah se rogi operation ke baad kuch bol nahi pata hain. Bolne ke liye Tracheoesophageal Prosthesis Operation ke samay hi gale mein lagate hain. Operation ke baad mareez ko speech therapy ki jaroorat padti hain, taki vah seekhe ki kis tarah se Prosthesis ki madad se bola ja sakta hain.

Soongh nahi payega :- Rogi ka bolna phir se shuru ho sake, Iske liye Electrolarynx bhi ek accha option hain. Yeh battery se chalne wala gadget hain. Isme mareez computerized ya robot ke jaisa bol sakta hain. Total Laryngectomy ke baad mareez soongh nahi pata hain, Kyonki vah apne gale se hi saans leta hain. Larynx na hone karan rogi operation ke baad bhaari wajan nahi utha pata hain. Operation ke baad nikaale gye Cancer ke Histopathological test ke liye bheja jata hain. Iske baad tay hoga ki aage ka kya upchar (Chemotherapy ya Radiotherapy) hoga. Treatment pura hone ke baad bhi mareez ko regular checkup ke liye aana hota hain. Yeh pata lagana bahut hi jaroori hain ki bimari ki avshesh to nahi rah gye hain, Ya naye cancer to nahi ban rahe hain. Yadi ban rahe ho to mareez ko alert ho jana chahiye. Iske nazar aate hi turant hi doctor ko dikhana chahiye. Iske lakshan dikhayi dene ke baad turant medical jaanch karwani chahiye. Deri aapke liye nuksaandayak ho sakti hain. Kai baar Chemo pura hona ke baad kisi aur jagah par aapko gathaan dikh sakti  hain. Iske liye aapko savdhaan rahne ki jaroorat hoti hain.