Header Ads

iPhone ke aas-paas ghoomne lagi chintiaa (Ants Circling Around the iPhone)

Ants Circling iPhonePichle dino ek khas video viral hua jisne sabko hairat mein daal diya aur gossip ka daur shuru ho gya ki aisa kaisi ho sakta hain ? Is Video mein iPhone ring hone par chintiaa (Ants) gole bana kar iske aas-paas ghoomne lagti hain.

Is clip mein Ants normal taur par alag-alag direction par chalte huye nazar aa rahe hain. Lekin jab iPhone bajta hain aur vibrate hota hain, to chintiya rahsyamayi roop se uske aas-paas ghoomne lagti hain aur circle ka size bana leti hain. 

YouTube par is video ko upload karne wale Viral Video Lab ke mutabik Chintiya aane wale call ke karan bane Electromagnetic Wave ke chalte aisa kar rahi hain. 

New England University ke Nigel Andrew ne  is baat se sahmati jataai hain ki Chintiya Magnetism ke contact mein aate hi apni direction ek disha mein le aati hain. Unhone kaha," Chintiyo ke Antenna mein Magnetic Receptor hote hain. Agar veh lamba rasta tay kar rahi hain to dharti se magnetic Que le rahi hoti hain ki veh North, South, West, East kis direction mein ja rahi hain."


Ek aur expert ne bataya ki yeh Abnormal Behavior ke karan bhi ho sakta hain kyonki aksar Ants cheezo ke aas-paas gola bana leti hain.

James cook University mein Social Inspect specialist Symon Robeson ne yeh kaha hain ki Yeh movement Ants ki communication system ka result hain. Unhone aage yeh samjhaya ki is video mein badi sankhya mein chintiya hain aur phone ke size ne unhe prabhavit kiya ho aisa ho sakta hain. Halaki, Veh yeh bhi kahte hain ki Chintiya yu bhi ek dusre ko follow karti hain, to phone waha agar na bhi hota to bhi veh aisa hi karti.

Dusre experts ka yeh manana hain ki yeh video fake hain. Entomologist Phill Torres ne kaha ki, " Mera manana hain ki yeh video asal mein fake hain. Aisa nahi hain ki chintiyo se yeh movement nahi karwaya ja sakta hain, lekin yeh pura movement unke nature ke according thoda strange hain."

Ants ki iPhone ke around ghoomne ki video:-